Page 1 of 1
tazah ghazal manoos heN kuchh aise GHamoN ke asar se hum
Posted: Sun Mar 13, 2005 5:49 pm
by khozema husaini
hazreen e mehfil
aadaab o tasleemat
apni tazah GHazal ke saath hazir e khidmat hoon aur ummeed karta hoon ke aap apni garanqadr aara se zaroor nawazenge aur mujhe shukriyah ada karne ka moqa faraham karenge
Husaini
ghazal
manoos heN kuchh aise GHamon ke acar se hum
mar jayenge KHushi ki zara si KHabar se hum
shehroN meN dasht se he ziyadah darindagi
is KHouf se nikalte nahiN apne ghar se hum
deta nahiN too husn ko kiyoN jazbah e wafa ?
poochhenge yeh sawaal shah e behr o bar se hum
marGHoob he unheN jo bohat dil ka toRna
layenge roz aik naya dil kidhar se hum ?
koh e baland sar kiye gir kar hazaar baar
uTThe nah phir giraye gaye jab nazar se hum
sar tere dar pe rakh ke gunahgaar ho gaye
yeh bojh ab utarenge kis tarah sar se hum
aane do un ki samt se patthar hazaar baar
bhejenge baar baar unheN gul idhar se hum
jane lagadeN kab miri KHuddariyoN ke daam
rehte heN door isliye her ahl e zar se hum
zahir husaini naam se hota he saaf saaf
rakhte hen uns Fatimah Zahra ke ghar se hum
Posted: Tue Mar 15, 2005 4:44 am
by Ibn-e-siddique
Husseini saHib:
salaam arz hai
aap ki ye ghazal doosre forum per bhi parhi aur bahot lutf aaya. aik baar phir parh ker lutf do.baala ho gayaa :)
taqreeban tamaam ash'aar pasand aaye.
aik umda kawish per meri jaanib se daad qubool kijiye :)
amjad
Posted: Tue Mar 15, 2005 2:32 pm
by khozema husaini
Ibn-e-siddique wrote:Husseini saHib:
salaam arz hai
aap ki ye ghazal doosre forum per bhi parhi aur bahot lutf aaya. aik baar phir parh ker lutf do.baala ho gayaa :)
taqreeban tamaam ash'aar pasand aaye.
aik umda kawish per meri jaanib se daad qubool kijiye :)
amjad
mohtaram amjad saheb
asslaam alaikum
ghazal ki pazeeraae ke liye men aap ka mamnoon hoon aur dili suhkriyah ada karta hoon qubool farmayen
Husaini
Posted: Fri Jul 22, 2005 2:22 pm
by khozema husaini
shukriyah
Re: tazah ghazal manoos heN kuchh aise GHamoN ke asar se hu
Posted: Sun Jul 24, 2005 4:25 am
by Shummu
khozema husaini wrote:
manoos heN kuchh aise GHamon ke acar se hum
mar jayenge KHushi ki zara si KHabar se hum
--WAHHHHHHHHHHHHHH bahut hi umda MATLAA kaha hai aapne...dil ko laga seedhe jaake !!
marGHoob he unheN jo bohat dil ka toRna
layenge roz aik naya dil kidhar se hum ?
--WAHH ek aur teer maara aapne jo ek baar phir seedhe dil mein jaa laga ..bahut khoob janaab!
sar tere dar pe rakh ke gunahgaar ho gaye
yeh bojh ab utarenge kis tarah sar se hum
--bahut hi khoob !
aane do un ki samt se patthar hazaar baar
bhejenge baar baar unheN gul idhar se hum
--arey wah...ye hui na baat...
zahir husaini naam se hota he saaf saaf
rakhte hen uns Fatimah Zahra ke ghar se hum
--wah nice MAQTAA!
Khozema sahab..is qadar khoobsurat ghazal pe dheron daad haazir hai khaaskar quoted ashaar pe...
Shumaila
Posted: Sun Jul 24, 2005 5:53 pm
by khozema husaini
mohtarma shummu sahiba
aadaab
2 maah ki chhuttiyon ke baad chand roz qabl hi hindustan se lota hoon
aaj aap ki mail per nazar padi is liye jawab der se deraha hoon ummeed he aap muAaf farmayengi
matla ki tareef ka andaaz khoobsoorat hay
aur baqi ashaar ki pasandeedgi ka bhi shukriya
Husaini
Posted: Sun Jul 24, 2005 6:01 pm
by khozema husaini
mohtarma sara sahiba
aadaab
aap ko mere padhne ka andaaz pasand aaya is ke liye aap ka shukrguzaar hoon qubool farmayen
Husaini
Re: tazah ghazal manoos heN kuchh aise GHamoN ke asar se hu
Posted: Sun Jul 24, 2005 9:57 pm
by Anmol
khozema husaini wrote:
ghazal
manoos heN kuchh aise GHamon ke acar se hum
mar jayenge KHushi ki zara si KHabar se hum
shehroN meN dasht se he ziyadah darindagi
is KHouf se nikalte nahiN apne ghar se hum
deta nahiN too husn ko kiyoN jazbah e wafa ?
poochhenge yeh sawaal shah e behr o bar se hum
marGHoob he unheN jo bohat dil ka toRna
layenge roz aik naya dil kidhar se hum ?
koh e baland sar kiye gir kar hazaar baar
uTThe nah phir giraye gaye jab nazar se hum
sar tere dar pe rakh ke gunahgaar ho gaye
yeh bojh ab utarenge kis tarah sar se hum
aane do un ki samt se patthar hazaar baar
bhejenge baar baar unheN gul idhar se hum
jane lagadeN kab miri KHuddariyoN ke daam
rehte heN door isliye her ahl e zar se hum
zahir husaini naam se hota he saaf saaf
rakhte hen uns Fatimah Zahra ke ghar se hum
Adaab
Khozemi Sahib!
Aap ki yeh Khoobsoorat ghazal aap ki aawaz meiN bhi suni thi, behad pasand aayi thi aur yahaN paRh kar bhi bohot achha laga. Har sher aik nageena hay. Daad pesh karti huN.
Posted: Mon Jul 25, 2005 5:47 pm
by khozema husaini
mohtarma anmol sahiba
bohat bohat shukriyah is izzat aur housla afzai ka
Husaini