Page 1 of 1
GHAZAL
Posted: Sun Jun 06, 2010 3:45 am
by Tanwir Phool
- GH1.gif (11.91 KiB) Viewed 1545 times
Re: GHAZAL
Posted: Sun Jun 06, 2010 11:17 am
by azeezbelgaumi
DonuN hi GazaleN Khub haiN... Phool ki tarh tar-o-taaza haiN. Mubarakbad Tanveer bhai. DTP meiN maujood KhaamiyaN durust ki jaa sakti thiN.
Azeez Belgaumi
Re: GHAZAL
Posted: Sun Jun 06, 2010 11:28 am
by azeezbelgaumi
Ghazal ke sehr meiN kuchch aisa kho gaya ke mohataram Tanveer phoon saheb ki Urdubandhan par aamad par Istaqbaal karna bhul gaya... Maazarat chaahtey huye Tanveer Bhai ka ham sab Khair maqdam kartey haiN.. Allah se duaa hai ke mausoof apni fikr o fann ki bheeni bheeni khushboo se urdubandhan ko moattar kartey raheN ge.. Ahlan wa sahlan marhaba..
Azeez Belgaumi
Re: GHAZAL
Posted: Sun Jun 06, 2010 1:10 pm
by Tanwir Phool
Bahut bahut shukriyaa Azeez Bhai ,aap ki mahabbat par tah-e-dil say aap kaa mamnoon hooN
Mujhay computer kaa iste'maal zeyaada naheeN aataa isliye post karnay maiN khaamiyaaN rah
jaati haiN.Agar fursat milay to yeh link aur uskay muta'alliqaat mulaahiza farmaaiey aur "Contact"
kay zree'aa apni qeemati aaraa say nawaaziey
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
Link aur deegar sub-links par click kanaa kaafi ho gaa.Yeh link banaanay maiN meray
betay aur bhateejay kaa ta'aawun shaamil hai jo Pakistan maiN haiN.Sab ko salaam kahiey
aur duaaoN maiN yaad rakhiey,JAZAAKALLAH FIDDAARAINI KHAIRAA(Tanwir Phool,New York)
Re: GHAZAL
Posted: Sun Jun 06, 2010 2:47 pm
by sbashwar
Mohtaram Tanwir Phool Saheb
Main apka mashkoor houn ke aap 2 umda ghazlein inyat farmaye hain.
Aapka tafseeli ta'aruf aapke links ke tawasut se dekh chuka houn. Masha'allah bohat khushi hui.
main insha-allah aapke ta'arufi links aapke profile edit karke ke shamil kardonga taake zyada se zyada loug aapke har kalaam ke saath aapke links bhi dekh sakein.
Mukhlis
Salem Bashwar
Re: GHAZAL
Posted: Thu Jun 10, 2010 5:48 am
by Tanwir Phool
Muhtaram Salem Bashwar saheb !
WA ALAIKUMASSALAAM WA RAHMATULLAH WA BARAKAATUHU
Kalaam pasand farmaanay kaa bahut bahut shukriyaa.
Aap nay meray ta'aarufi links kay silsilay maiN jo kaam
kiyaa hai woh aap kay khuloos aur mahabbat kaa aa'eena
daar hai ,maiN tah-e-dil say aap kaa mamnoon hooN
JAZAAKALLAH FIDDAARAINI KHAIRAA
Re: GHAZAL
Posted: Thu Jun 17, 2010 9:46 am
by munir-armaan-nasimi
Masha'Allah... Tanwir Saheb... Dono Ghazal behad shaandaar aur jaandaar hain.... aapke 'phool' ki 'khushboo' hum tak der se pahunchii... uske liye sharmindaah hain........
kya karein hamari Naak band theeeeee
Re: GHAZAL
Posted: Thu Jun 17, 2010 10:19 pm
by tahira Masood
ahl-e-dunyaa haiN ghaib se Ghaafil
aik pal ka patah nahin hotaa
Mashallah
bohat hi a'alaa
Janaab! salaam amsnoon
yuN tau saari kis aari balkeh donoN Ghazlein saari ki saari laajwaab haiN magar yeh shaer tau HaSil-e-kalaam hai
dilee daad mubarikbaad aur duaaein
Allah karae zor-e- qalam aur ziaadah.Ameen
kush rehaiN
wassalam
Re: GHAZAL
Posted: Thu Jul 22, 2010 6:37 pm
by Tanwir Phool
Bahut bahut shukriyaa Munir Armaan Nasimi sb. aur
Tahira Masood sahiba ! Beemaari aur masroofiyaat
ki wajh say jawaab denay maiN taakheer ho gai jis
ke li'ey maa'zirat qabool keeji'ey.Hamaisha duaa'oN
maiN yaad rakhi'ey aur sab ko meraa salaam kahi'ey.
Naik khwaahishaat kay saath
(Tanwir Phool , New York)