Page 1 of 1

aik naee koshish

Posted: Tue Jun 08, 2010 2:54 am
by tahira Masood
سلام خلوص

ایک نئی کوشیش آپ سبکی بصارتوں اورآراء کی نذر
اس میںمطلع نہیں ہے۔

بحرحال پیش خدمت ہے



میرا اعتبار یوں تو ، تجھے ہو گیا ہے حاصل
کئی وسوسے ابھی ہیں وہم وگماں کے پیچھے

تجھے یہ خبر نہیں ہے اے منکر الٰہی؟
اک رب عالمیں ہے اس کن فکاں کے پیچھے

نہیں زیست اتنی آساں بڑی مشکلیں ہیں راہ میں
کئی علتیں لگی ہیں اس جسم و جان کے پیچھے

ہے یہ بے ثبات دنیا سبھی جانتے ہیں لیکن
کیوں خوار ہو رہے ہیں حرص جہاں کے پیچھے

انہیں کاش یہ پتہ ہو ، نہیں یہ خوشی کے آنسو
کہ چھپے ہیں درد لاکھوں اشک رواں کے پیچے

meraa aitebaar yuN tau tune ker liaa hai haaSil
ka'ee waswasae abhi ahiN wehm-o-gumaaN k peechae

tujhae kioN khabar nahin hai ay munkar-e-Ilaahi?
ikk Rabb-e-AalameeN hai is "kun fakaaN " k peecahe

nahin zeest itnee aasaN baRi mushkaleN haiN raah maiN
kaee illateiN lagee haiN is jism-o-jaaN k peechae

hai yeh be Cabaat dunyaa sabhi jaanate haiN laikin
kioN Khawaar ho rehay haiN HirS-e-jehaaN k peechae

unheiN kaash yeh patah ho, nahiN yeh khushee k aansoo
keh chupae haib dard lakhoN ashk-e-rawaaN k peechae

Re: aik naee koshish

Posted: Wed Jun 09, 2010 9:59 am
by sbashwar
Mohtarama Tahira Masood Saheba
:salaam2:

tujhae kioN khabar nahin hai ay munkar-e-Ilaahi?
ikk Rabb-e-AalameeN hai is "kun fakaaN " k peecahe

nahin zeest itnee aasaN baRi mushkaleN haiN raah maiN
kaee illateiN lagee haiN is jism-o-jaaN k peechae

hai yeh be Cabaat dunyaa sabhi jaanate haiN laikin
kioN Khawaar ho rehay haiN HirS-e-jehaaN k peechae

ye tenouN asha'ar khoob hain. Shayer ke kalam se shayer ki mizaj ka andaza hota hai. Apke kalaam ma'ashra, qaum aur deen ka ihata kiye hote hain.
Allah karey zorey qalam aur ziadah.
Daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: aik naee koshish

Posted: Mon Jun 14, 2010 12:33 am
by tahira Masood
mohteram Bashwar saheb

Salam masnoon

maiN aapki is HauSlah afza'ee, Ameeq tjaziye aur qadr daani k liye tah-e-dil se mamnonn hoN.

Jazakomullha-o- aHsaniljzaa

shukeriyah aur bohat bohat shukeriyah

sadaa khush rehaiN

wassalam

Re: aik naee koshish

Posted: Mon Jun 14, 2010 4:35 pm
by sajhashmi
طاہر ہ صاحبہ کی غزل پر جیسا کہ سلیم باشوار صاحب نے فرمایا
مجھے کچھ کہنے کا استحقاق تو نہیں کہ شعر خود اپنے خالق کے مزاج
اور اس پس منظر سے متعارف کروادیتا ہے جو اس کا سبب بنتا ہے۔
غزل کے مصرعے ہم وزن ہونا چاہئیں یہ اساتذہ ء غزل کا کہنا اور وطیرہ رہا
اسی پر غزل کی عمارت تعمیر ہوتی ہے۔بہرحال معمولی سی لغزش کے باعث
مکمل اظہار کو یکسر قلم زد کرنا آسان نہین ہے۔۔کوشش کی گئی ہے دعوِا ی نہیں سو
گوارا کیجیے
سیدانورجاویدہاشمی
:-) :-)

Re: aik naee koshish

Posted: Thu Jun 17, 2010 9:55 am
by munir-armaan-nasimi
Bohat hi achchi koshish hai Tahira Masood Sahiba magar... esko aap "aik naee koshish" ka naam de-kar.... Ghazal main ek aur jadeed nukta jod rahi hain...... waise bhi aaj-kal... Ghazal, Aazaad Ghazal, Ek satri Ghazal, Kaali Ghazal, Zahreeli Ghazal aur naa jaane kaun kaun si "Ghazal" likh kar log..... hamein "confuse" kar rahe hain....... bhai hum adab ke adna qaari hain.... hamein to seedhi saadhi si, bholi bhaali si, pyari pyari si... ek ghazal hi mil jaaye... padhne ko. bohat hai.

SAJ Hashmi Saheb ki baatoN pe ghaur kiziye.... bina matla' kee ghazal main ne aaj tak nahin padhi.

taalib-e-dua,

munir armaan

Re: aik naee koshish

Posted: Thu Jun 17, 2010 9:57 pm
by tahira Masood
munir-armaan-nasimi wrote:Bohat hi achchi koshish hai Tahira Masood Sahiba magar... esko aap "aik naee koshish" ka naam de-kar.... Ghazal main ek aur jadeed nukta jod rahi hain...... waise bhi aaj-kal... Ghazal, Aazaad Ghazal, Ek satri Ghazal, Kaali Ghazal, Zahreeli Ghazal aur naa jaane kaun kaun si "Ghazal" likh kar log..... hamein "confuse" kar rahe hain....... bhai hum adab ke adna qaari hain.... hamein to seedhi saadhi si, bholi bhaali si, pyari pyari si... ek ghazal hi mil jaaye... padhne ko. bohat hai.

SAJ Hashmi Saheb ki baatoN pe ghaur kiziye.... bina matla' kee ghazal main ne aaj tak nahin padhi.

taalib-e-dua,

munir armaan
moHteram Munir Arman Nasimi SaHeb

Assalamo Alaikum w.w

aapkaa be laag berjastah aur sushtah tabSarah pasand aaya. Jazakomullah

aap ne baghair matlae k ghazal nahin paRhi . mujhae yaqeen hain keh Sirf aap ne hi nahin balkeh bohat soN ne nahin paRhi ho gee isee liye dhachkaa daine ki bajaaey intebaah ker diaa thaa. ab meraa zimmah tosh posh :-)

daikheiN kab matla'A bhi soojh jaaey. agar asia huaa tau isko mukammal kardoNge.

abhi yeh adhuree aur Khaam, ghazal hi pesh-e-khidmat hai. ( isko bhi koee ghazal ki naee sanf hi nah samjh lae) :?

aik baar phir aap ki raaey kaa shukeriyah

wassalam

Re: aik naee koshish

Posted: Thu Jun 17, 2010 10:12 pm
by tahira Masood
sajhashmi wrote:طاہر ہ صاحبہ کی غزل پر جیسا کہ سلیم باشوار صاحب نے فرمایا
مجھے کچھ کہنے کا استحقاق تو نہیں کہ شعر خود اپنے خالق کے مزاج
اور اس پس منظر سے متعارف کروادیتا ہے جو اس کا سبب بنتا ہے۔
غزل کے مصرعے ہم وزن ہونا چاہئیں یہ اساتذہ ء غزل کا کہنا اور وطیرہ رہا
اسی پر غزل کی عمارت تعمیر ہوتی ہے۔بہرحال معمولی سی لغزش کے باعث
مکمل اظہار کو یکسر قلم زد کرنا آسان نہین ہے۔۔کوشش کی گئی ہے دعوِا ی نہیں سو
گوارا کیجیے
سیدانورجاویدہاشمی
:-) :-)
moHteram Sajjad Bah'ee SaHeb

Salaam masnoon

Shaa'iree maiN aapki tajrubah kaari aur pukhtagi kaa mujhae andaaza hai isee liey maiN jaanti hoN keh yeh ghazal aap k lehaaZ se bilkul "aiNweiN" si hai.

aapki taba per yeh yaqeenan garaaN guzeri ho gee.

baa her haal abhi isko berdaasht karnaa paRae gaa.

hunooz ghaur-o-fikr jaari hai jaise hi ismaiN kuch behteri soojhi isko tasHeeH krdongee. Inshallah

aap ki qeemati raaey aur waqt k liye manoon hoN

Khush rehaiN

wassalam