Page 1 of 65

Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!

Posted: Fri Dec 17, 2004 10:34 am
by Shummu
Salaam sab ko!

Jaisa ki subject se zaahir hota hai...yahan jo sher koi likhega to agla shaks us sher ke doosre misre ke pehle ya aakhri alfaaz se agla sher chaspaaN karega! (this is to make it tough) aur next sher likhte waqt US LAFZ ko zaroor highlight kar ke likhiyega jisse aap NEXT SHER likh rahe hain.

SHUKRIYA....!

Main aaGhaaz karti hoon...


Urdu hai jis ka naam hum hi jaantay hain daag
Saaray jahan may dhoom hamaree zabaN ki hai



ab is sher mein se doosre misre ke pehle/aakhri lafz se next sher irsaal karein :)

Shumaila

Posted: Fri Dec 17, 2004 6:58 pm
by Hashmat Usmani
salaam shummu...bahot Khoob silsila shur'u kiyaa hai. thank you.

hai ab is ma'moora meN qai'Ht-e-Gham-e-ulfat, "Asad!"
ham ne yeh maanaa ki Dilli meN raheN, khaaveNge kia? :-o


Ghaalib

agla sher lafz-e-"ham" ya "kia" se marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Fri Dec 17, 2004 8:12 pm
by Shummu
shukriya!

HAM


ham tarasate hii taraste hii tarasate hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile


kaif bhopali


next with VO/MILE

Posted: Sat Dec 18, 2004 12:36 pm
by Shummu
wah Nazir sahab...aap ko is thread mein dekh kar bahut khushi hui.shukriya!

aur ab aap ke second misre ke pehle(har) ya aakhri(mujhe) se sher kehna hoga..!!

HAR

Har aik baat pe kehte ho tum ke tuu kyaa hai
tum hi kaho keh ye andaaz-e-guftuguu kyaa hai?!

NEXT with TUM/HAI

Posted: Sun Dec 19, 2004 11:23 am
by Ibn-e-siddique
mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujh ko
mire Toote hue dil ke ye dard angeiz naale haiN


mire yaa haiN

Posted: Sun Dec 19, 2004 11:35 am
by Shummu
Amjad jee thanx for ur participation....bahut accha sher sunaaya hai aapne :D

HAIN

hain aur bhi dunyaa mein sukhanwar bahut achche
kehte hain GHALIB ka hai andaaz-e-bayaaN aur

Posted: Sun Dec 19, 2004 11:37 am
by Ibn-e-siddique
aur

aur baazaar se le aaye agar TooT gayaa
saaghar-e-jam se miraa jam-e-sifaal acha hai

Posted: Sun Dec 19, 2004 1:31 pm
by Hashmat Usmani
HAI

hai dil-e-shoriida, "Ghaalib!", tilism-e-pech_o_taab
rai'Hm kar apnii tamanna par, ki kis mushkil meN hai


rai'Hm ya hai se agla she'r, plz.

Posted: Sun Dec 19, 2004 1:33 pm
by Shummu
HAI

Hai kis ka intizaar mujhe kuch khabar nahi
kab aayegi bahaar mujhe kuch khabar nahi

Amjad Islam Amjad


KAB/NAHI

Posted: Sun Dec 19, 2004 1:40 pm
by Hashmat Usmani
NAHIIN

nahiiN minnat_kash-e-taab-e-shuniidan daastaaN merii
Khamoshii guftugu hai, be_zubaanii hai zubaaN merii


'allaamah Iqbaal

agla she'r lafz-e-"Khaamoshii/Khamoshii/Khaamshii" ya lafz-e-"merii" se, plz.

Posted: Sun Dec 19, 2004 5:10 pm
by Ibn-e-siddique
khaamushi keh rahi hai kaan meiN kiya
aa rahaa hai mire gumaan meiN kiya?

Posted: Sun Dec 19, 2004 7:32 pm
by Hashmat Usmani
KIA

kia miliye aise logoN se jinkii fitrat chhupii rahe
naqlii chehra saamne aaye, asli soorat chhupii rahe


agla she'r lafz-e-"naqlii" ya lafz-e-"rahe" se, plz.

Posted: Sun Dec 19, 2004 9:43 pm
by Ibn-e-siddique
rahe saath tiraa pyaar zindagi ban kar
ye aur baat meri zindagi vafaa na kare

Posted: Sun Dec 19, 2004 11:43 pm
by Hashmat Usmani
KARE

kare hai qatl, lagaavaT meN tiraa ro denaa
terii taraH, koii teGh-e-nigeh ko aab to de!


Ghaalib

lafze-e-"terii" ya "de" se agla she'r marHamat farmaaiye, shukria.

Posted: Mon Dec 20, 2004 4:45 am
by Ibn-e-siddique
de

de wo jis qadar zillat ham hansi meiN TaaleN ge
baare aashna nikla , unka paasbaaN apna

ghalib