Page 1 of 1

NighaiN tujh say aye dost milaauN kahaan say

Posted: Mon Jun 14, 2010 8:36 pm
by Brijinder
NighaaiN tujh say aye dost milaanuN kahaaN say
NahiN milti meri duniya teray jahaN say

Tujhay khauf khud say tu jiyaya mehfiloN maiN
Tanha lagay haiN mujhko majmay sab yahaaN say

Ajnabi ban kay lagay milnay woh chehray aashna say
Chup kay say uth kay aa gaya maiN isliyayay wahaaN say

Meri terah meri duniya maiN aanaa "Sagar"
Chaaho jo kabhi aanaa uth kay apnay jahaaN say

Re: NighaiN tujh say aye dost milaauN kahaan say

Posted: Thu Jun 17, 2010 9:35 am
by munir-armaan-nasimi
Ajnabi ban kay lagay milnay woh chehray aashna say
Chup kay say uth kay aa gaya maiN isliyayay wahaaN say


Waah bhai Waah... aapki sharafat hai warna..... aaj kal is tarah chup chap uthh kar koi nahin aata... aaj-kal mohabbat ka falsafa hi badal gaya hai. hai na bhaijaan??? :grin:

Re: NighaiN tujh say aye dost milaauN kahaan say

Posted: Tue Jun 22, 2010 8:45 pm
by Brijinder
Aap shayad theek farmaatay haiN Minir bhai lekin jaisy angerayzi main kehtay haiN:Each to his own. Mera to yehi raasta rah aur koi ghum nahi.
Shukriya janaab.