Page 1 of 1

taza ghazal ke ashaar

Posted: Wed Mar 16, 2005 9:23 am
by Mahtab Qadr
Badla nahi hai jaada e manzil tamaam umr
mahwer se kab hata hai mera dil tamaam umr

uljhaa raha hai zahir o batin ki jang mai
mai khud na ban sakaa mere qabil tamaam umr

ehsaan mujh pe kargayaa ban kar adoo mera
tha merey dostoN mai jo shamil tamaam umr

mai aks ban ke deeda o dil mai basaa rahaa
mujh se na bach sakaa mera qatil tamaam umr

thaa mujh ko bhi azeez bahut maslak e junooN
mahtaab un mai kam rahaa shamil tamaam umr

Mahtab Qadr

Re: taza ghazal ke ashaar

Posted: Wed Mar 16, 2005 9:45 am
by Raji
moHtaram janab-e-Mahtab Qadr SaaHeb
Aadaab-o-tasleemat,
bohat dinooN baa'ad aap ka kalam daikha acha laga.

Mahtab Qadr wrote:Badla nahi hai jaada e manzil tamaam umr
mahwer se kab hata hai mera dil tamaam umr
wah matlah khoob hai.

uljhaa raha hai zahir o batin ki jang mai
mai khud na ban sakaa mere qabil tamaam umr
wah bohat hee umda she'r hai daad quboo keejiy


ehsaan mujh pe kargayaa ban kar adoo mera
tha merey dostoN mai jo shamil tamaam umr
bohat hee pyaara mazmoon hai har kee haqeeqat se qareeb tar.

mai aks ban ke deeda o dil mai basaa rahaa
mujh se na bach sakaa mera qatil tamaam umr
:) nice


thaa mujh ko bhi azeez bahut maslak e junooN
mahtaab un mai kam rahaa shamil tamaam umr

mqata bhi khoob hai.

iss kamyaab takhleeq par meree janib se dilee daad aur mubarak baad qubool keeiye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:


Posted: Wed Mar 16, 2005 7:54 pm
by waqar_masood
assalam o alaikum

janab mehtab qadr sahib ,

kia hi umdah ghazal kehi aap nay ..parh ker maza aa gia , maqtaa to bay had khubsoorat hay , share kernay ka bay had shukria , behtreen takhleeq hay meri janib say buhut si daad qubool kejay ,

dua go

waqar masood

Posted: Sat Mar 19, 2005 4:29 pm
by irfan abid
mahtab sb, aadaab!

aap kii taaza Ghazal pasand aayii. daad qubuul farmaaiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Re: taza ghazal ke ashaar

Posted: Mon Mar 21, 2005 8:40 am
by Safiya
Mahtab Qadr wrote:Badla nahi hai jaada e manzil tamaam umr
mahwer se kab hata hai mera dil tamaam umr

uljhaa raha hai zahir o batin ki jang mai
mai khud na ban sakaa mere qabil tamaam umr

ehsaan mujh pe kargayaa ban kar adoo mera
tha merey dostoN mai jo shamil tamaam umr

mai aks ban ke deeda o dil mai basaa rahaa
mujh se na bach sakaa mera qatil tamaam umr

thaa mujh ko bhi azeez bahut maslak e junooN
mahtaab un mai kam rahaa shamil tamaam umr

Mahtab Qadr
Waah Sarfarazb sahab
humne to humesha hi kaha haiy ke aap jab bhi karte hain kamal karte hain. :-)

Humesha ki tarah aapka kalaam khoobsoorat aur zordaar haiy, veyse to ghazal ka har sheyr daad aur pasanddeedgi ke myaar pe poora utarta haiy, lekin phir bhi sheyr 2 aur 4 aur maqta bohot ziyada pasand ayaa.

jaazbaaton ki jang se fursat mil jaaye to zara hume bhi khabar den ke sab kheyriyet to haiy.

Safiya

Re: taza ghazal ke ashaar

Posted: Wed Mar 23, 2005 2:37 am
by Hashmat Usmani
salaam sarfaraaz saaHib,

aapkii Ghazal nazar guzaar huii...masha Allah hamesha kii taraH aapkii yeh Ghazal bhii urfa o aalaa hai. aapkii GhazloN par tabsirah karna sooraj ko chaand dikhaane waalii baat huii. har she'r kia hii Khoob kahe haiN aapne. mubaarakbaad qubool kijiiye merii jaanib se.

yeh ash'aar bahot ziyaada pasand aaye nisbatan.

Hashmat



Badla nahi hai jaada e manzil tamaam umr
mahwer se kab hata hai mera dil tamaam umr

ehsaan mujh pe kar gayaa ban kar adoo mera
tha merey dostoN mai jo shamil tamaam umr

thaa mujh ko bhi azeez bahut maslak e junooN
mahtaab un mai kam rahaa shamil tamaam umr