Page 1 of 1
Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Wed Jul 14, 2010 3:14 pm
by Sarwar A. Raz
Ghazal
masjid-e-zeest meN ik u'mr jabeeN-saayee kee
marHabaa kis ne kahaa, kis ne pazeeraayee kee?
muR ke dekhaa,nah kabhee zeHmat-e-goyaa,ee kee
waah kyaa baat hai us paikar-e-ra'naayee kee!
kuchh ne shaa,i'r kahaa aur kuchh ne kahaa deewaanah
yeh milee ham ko sazaa tujh se shanaasaayee kee
:kaun hotaa hai Hareef-e-mai-e-mard-afgan-e-i'shq:
yooN to karte haiN sabhee baat shikebaayee kee!
log to baat kaa afsaanah banaa dete haiN
warnah auqaat hai kyaa tere tamannaayee kee!
shaam-e-HirmaaN, shab-e-Gham, SubH-e-alam, roz-e-umeed
Had bhee hotee hai koyee qaafiyah-paimaayee kee!
daulat-e-zaKhm-e-jigar, Hashmat-e-aalaam-e-wafaa
koyee dekhe to faqeeree tire saudaayee kee
ek saayah thaa, guzargaah-e-naz^ar thee, maiN thaa
mujh se poochhe koyee laZZat shab-e-tanhaayee kee!
uNgliyaaN uThtee haiN har gaah zamaane bhar meN
daad achhee milee "Sarwar" tujhe Khud-raayee kee!
-------------------------
[/b]
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Sun Jul 18, 2010 5:22 pm
by azeezbelgaumi
Bahut Khoob Raz Saheb....
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Mon Jul 19, 2010 1:04 am
by Sarwar A. Raz
azeezbelgaumi wrote:Bahut Khoob Raz Saheb....
a'zeez-e-mukarram Azeez SaaHeb: aadaab!
i'zzat-afzaayee ke liYe saraapaa sipaas hooN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Mon Jul 19, 2010 9:22 am
by munir-armaan-nasimi
Log to baat kaa afsaanah banaa dete haiN
warnah auqaat hai kyaa tere tamannaayee kee!
aur sachchi baat to yahi hai keh aapki ghazal kee pazeraayee ke liye meri auquaat nahin hai. Ustaad aakhir ustaad hota hai.. hum unhein padh kar, sun kar seekh sakein to yahi bohat hai.
aap ka apna,
munir armaan
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Tue Jul 20, 2010 6:16 am
by Sarwar A. Raz
munir-armaan-nasimi wrote:Log to baat kaa afsaanah banaa dete haiN
warnah auqaat hai kyaa tere tamannaayee kee!
aur sachchi baat to yahi hai keh aapki ghazal kee pazeraayee ke liye meri auquaat nahin hai. Ustaad aakhir ustaad hota hai.. hum unhein padh kar, sun kar seekh sakein to yahi bohat hai.
aap ka apna,
munir armaan
janaab Armaan SaaHeb: aadaab!
daad ke liYe mamnoon hooN. ummeed hai keh aap baKhair hoN ge.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Tue Jul 20, 2010 6:54 am
by azeezbelgaumi
Mohataram Raz Sb : Ek aur sheir aapki nazr: Azeez Belgaumi
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Tue Jul 20, 2010 3:26 pm
by Sarwar A. Raz
azeezbelgaumi wrote:Mohataram Raz Sb : Ek aur sheir aapki nazr: Azeez Belgaumi
عزیز مکرم عزیز صاحب: آداب
بندہ نوازی کے لئے ممنون ہوں لیکن واللہ کہ میں اس ستائش کا مستحق نہیں۔ دعائے خیر میں یاد رکھئے۔
سرور عالم راز سرور
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Tue Jul 20, 2010 4:48 pm
by azeezbelgaumi
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Thu Jul 22, 2010 11:26 am
by sbashwar
محترم سرور عالم راز صاحب
السلام علیکم
آپکی یہ خوبصورت غزل پر میری داد اور مبارکباد عرض ہے۔
مخلص
سالم باشوار
[/color][/font]
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Thu Jul 22, 2010 6:13 pm
by Tanwir Phool
SUBHAANALLAH , bahut khoob !
Taghazzul say bharpoor kalaam par
daad aur mubaarakbaad qabool keeji'ey
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Fri Jul 23, 2010 2:42 am
by Sarwar A. Raz
sbashwar wrote:
محترم سرور عالم راز صاحب
السلام علیکم
آپکی یہ خوبصورت غزل پر میری داد اور مبارکباد عرض ہے۔
مخلص
سالم باشوار
[/color][/font]
عزیز مکرم سالم باشوار صاحب: سلام مسنون
آپ نے اتنے اچھے الفاظ سے یاد کیا تو دلی مسرت ہوئی۔ سرا پا سپاس ہوں۔ جدہ کے کیا حال چال ہیں؟ عبداللہ ناظر صاحب تو اللہ کو پیارے ہوگئے۔ اب وہاں ادبی محفلوں کا کیا ڈھنگ ہے؟ دعائے خیر میں یاد رکھئے۔
سرور عالم راز سرور
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Fri Jul 23, 2010 2:46 am
by Sarwar A. Raz
Tanwir Phool wrote:SUBHAANALLAH , bahut khoob !
Taghazzul say bharpoor kalaam par
daad aur mubaarakbaad qabool keeji'ey
مکرم بندہ جناب پھول صاحب: آداب
جہاں تک مجھے یاد ہے آپ کو مشاعرہ ڈاٹ آرگ میں غزل سرا دیکھا کرتا تھا۔ اب یہاں دیکھ کر مسرت سے دو چارہوا۔ وقت نکال کر اردو انجمن میں بھی تسریف لائیں۔ انشا اللہ مایوسی نہیں ہوگی۔ پتہ نیچے لکھ رہا ہوں۔
آپ کی داد سر آنکھوں پر ۔ ان محبت بھرے الفاظ کے لئے سپاس گزار ہوں۔
سرور عالم راز سرور
http://www.urduanjuman.com
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Sat Jul 24, 2010 7:23 pm
by Tanwir Phool
Mukarram banda nawaaz janaab Sarwar sb. !
Tasleemaat
Aap kee daa'wat sar aaNkhoN par.INSHAA ALLAH
Urdu Anjuman maiN bhi haaziree dooN gaa.Aap nay
durust farmaaya , yeh link mulaahiza farmaai'ey:
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
"About Me" aur "My Urdu writings" par click keeji'ey,
muwakhkhar-uz-zikr maiN Mushaira.org waala kalaam
bhi hai,ab shaayed yeh website ta'attul kaa shikaar hai,
keyaa meraa khayaal durust hai ? Sab ko meraa salaam
kahi'ey ,ALLAH HAFIZ
Tanwir Phool
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Mon Jul 26, 2010 3:47 am
by Sarwar A. Raz
Tanwir Phool wrote:Mukarram banda nawaaz janaab Sarwar sb. !
Tasleemaat
Aap kee daa'wat sar aaNkhoN par.INSHAA ALLAH
Urdu Anjuman maiN bhi haaziree dooN gaa.Aap nay
durust farmaaya , yeh link mulaahiza farmaai'ey:
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
"About Me" aur "My Urdu writings" par click keeji'ey,
muwakhkhar-uz-zikr maiN Mushaira.org waala kalaam
bhi hai,ab shaayed yeh website ta'attul kaa shikaar hai,
keyaa meraa khayaal durust hai ? Sab ko meraa salaam
kahi'ey ,ALLAH HAFIZ
Tanwir Phool
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
a'zeez-e-mukarram Phool SaaHeb: aadaab!
aap kaa Khat^ dekh kar dilee masarrat huyee. aap Urdu Anjuman meN aaYe yeh aur Khushee kaa baa,i'c huwaa. inshaa Allah mulaaqaat rahe gee. Mushaira.org ba-wujooh ta,at^t^ul meN hai. us ko do-baarah manz^ar-e-a'am par laane kee koshish ho rahee hai. dekhiYe kyaa hotaa hai. aap kee kitaabeN kahaaN se mil saktee haiN? agar aap mere email par raabitah kareN to i'naayat ho gee.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
sarwarazi@yahoo.com
Re: Ek Ghazal ایک غزل
Posted: Tue Jul 27, 2010 3:41 am
by Tanwir Phool
Muhtaram Sarwar sb. !
Tasleemaat
Aap kay irshaad kay mutaabiq aap ko e-mail bhaij di hai.
Izzat afzaa'i aur qadr daani par tah-e-dil say aap kaa
mamnoon hooN.Sab ko salaam kahi'ey.ALLAH HAFIZ