Page 1 of 1

tarHi Ghazal tire aaNsoo heN meri chashm e tar meN

Posted: Thu Mar 17, 2005 2:09 pm
by khozema husaini
haazreen e mehfil
asslaam o alaikum
apni ghazal ke saath haazir e KHidmat hoon aur hasb e mAmool aap ki aara ka shiddat se intezaar rahegaa
shukriyah
Husaini
Ghazal
andheraa aur itna mere ghar meN ?
he qaht e noor kiya shams o qamar meN ?

haNsi meri tere lab ki he zeenat
tire aaNsoo heN meri chashm e tar meN

huye duniya meN hum youN sarf e isyaaN
musaafir jis tarah gard e safar meN

youN hum ne azm apna aazmaayaa
keh KHud hee Daal di kashti bhaNwar meN

dikhaaee raah mujh ko bijliyon ne
laga di aag meri rahguzar meN

tire haathoN pe yeh rang e Hina he
keh Doobe heN mire KHoon e jigar meN

jahaN rakkhi thi bunyaad e nasheman
wohee thi shaaKH bijli ki nazar meN ?

nihaaN heN dard ke kitne he qisse
hamari daastaan e muKhtasar meN

Husaini aarzoo e Ilm gar he
to baiThho soHbat e ahl e hunar meN

Posted: Tue Mar 22, 2005 6:56 pm
by zaamin
jahaN rakkhi thi bunyaad e nasheman
wohee thi shaaKH bijli ki nazar meN

bahut khoobsoorat she'r hai;ghazal pasand aayii

daad haazir hai

mukhlis

zaamin

Re: tarHi Ghazal tire aaNsoo heN meri chashm e tar meN

Posted: Wed Mar 23, 2005 12:10 am
by Hashmat Usmani
salaam Hussainii saaHib,

kaise mizaaj haiN aapke? ummeed hai ki ba-Khair hoNge.

aapkaa kalaam nazar guzaar huaa. share karne ke liye mamnoon huN. aapkii Ghazal mujhe bahot bhaaii. aapne achchhii Ghazal kahii hai. meri taraf se daad qubool kijiiye.

mujhe yeh ash'aar bahot pasand aaye:


andheraa aur itna mere ghar meN ?
he qaht e noor kiya shams o qamar meN ?

huye duniya meN hum youN sarf e isyaaN
musaafir jis tarah gard e safar meN

dikhaaee raah mujh ko bijliyon ne
laga di aag meri rahguzar meN

tire haathoN pe yeh rang e Hina he
keh Doobe heN mire KHoon e jigar meN

jahaN rakkhi thi bunyaad e nasheman
wohee thi shaaKH bijli ki nazar meN ?

nihaaN heN dard ke kitne he qisse
hamari daastaan e muKhtasar meN

Posted: Wed Mar 23, 2005 2:58 pm
by khozema husaini
janab hashmat saheb
aadaab o tasleemat
KHair talab ba Khair ba hamd e Allah
ghazal per aap ke tassuraat dekh kar behad khushi huii ashaar aap ko pasand aaye is ke liye men aap ka tah e dil se shukr guzaar hoon ummeed he aap aaindah bhi yeh silsila jari rakhen ge aur meri hosla afzaii aue raahnumaii farmayenge
Husaini

Posted: Wed Mar 23, 2005 3:01 pm
by khozema husaini
janab zaamin saheb
ghazal ki pazeeraaii ke liye men aap ka shukrguzaar hoon
Husaini