Page 1 of 1

Parda Daar Hotel

Posted: Thu Aug 05, 2010 9:08 pm
by Tanwir Phool
Yeh nazm 1968 maiN kahi ga'ee thee jab Pakistan maiN
Ayub Khan kee sadaarat thee.Taqreeban 42 saal pahlay
kee nazm haazir hai
PHOTEL-1.gif
PHOTEL-1.gif (25.58 KiB) Viewed 1240 times

Re: Parda Daar Hotel

Posted: Fri Aug 06, 2010 5:42 pm
by sbashwar
Mohtaram Tanveer Phool Saheb
:salaam2:

Ek daur tha ghair moslim bhi roza rakha karte tha hamare rouzaun ke ehtaram mein. Humne sharabiyon ko ramadhan ka ehtaram karte dekha hai. Ab wo baat kahan. Parda wali baat bhi purani hogayi hai. Ab to baRi dhatai ka daur hai.

Aapke kalam ne dil dukha diya (aaj ke daur ki wajeh)
Allah sabko naik taufeeq de, ameen.

Re: Parda Daar Hotel

Posted: Sat Aug 07, 2010 9:05 am
by Tanwir Phool
Wa alaikumassalaam wa RahmatULLAH wa BarakaatuHu
Muhtaram Salem Bashwar saheb ! aap nay bilkul durust farmaayaa,
meri yeh nazm taqreeban 42 saal pahlay ki yaadgaar hai .MaiN nay
iskay baaray maiN Ismail Ajaz Khayaal saheb ko urdujahaan.com ki website
maiN tafseelan bataayaa hai,aap bhi mulaahiza farmaa leeji'ey.

Re: Parda Daar Hotel

Posted: Sun Aug 08, 2010 6:09 am
by Nayeem Khan
Bohat khoob.

Re: Parda Daar Hotel

Posted: Sun Aug 08, 2010 7:00 am
by Tanwir Phool
Bahut bahut shukriyaa