Page 1 of 1
guzaarish # 3
Posted: Thu Mar 17, 2005 7:07 pm
by tahira Masood
Re: guzaarish # 3
Posted: Sat Mar 19, 2005 4:04 pm
by nigaah
tahira Masood wrote:
Tahira Sahiba
aap ki Ghazal pasand aayi chand ashaar bilKhusoos achay lagay...aur chand ek per kuch kehna chahooNgi...
matla tou bohut Khoob hai mashAllah...mujhay bohut acha laga....
albatta doosray shair ek Khayaal nay tou choNka diya!!....janaab pehli baar dekha ke sitam per sitam kiye jaanay ki wajeh say koi mehboob say nafrat ka ailaan kar raha ho.....
shair no. 3 aur 4 bhi bohut achay haiN....
aur giraah aap ki!!...SubhanAllah !!....kia Khubsoorat giraah lagai hai janaab aap nay.....bohut hi bay saaKhta aur fitri hai...bohut achay ....dhairoN daad qubool kijye...
shair no.6 aur 7 dono kay pehle misray wazn say Khaarij haiN....dekh lijye ga....
aap ki Ghazal majmooi tor per mujhay pasand aayi ....Khaas tor say giraah...daad aur mubaarakbaad qubool kijye...
Nigaah
Posted: Wed Mar 23, 2005 4:15 am
by Hashmat Usmani
salaam Taahira bahna,
ummeed hai ki aapke mizaaj e giraamii ba_Khair hoNge.
aapkii taraHii Gahzal paRhii aur bilaa mubaaliGha har she'r par waah waah muNh se nikaltii chalii gaii. bahot Khoob, bahot umda ash'aar kahe haiN aapne. mazaameen meN bhii vus'at e fikr hai aur andaae bayaan aur zabaan donoN hii nihaayat chust haiN. ek kaamiiyaab Ghazal kahne par is bhaaii kii taraf se mabrook.
jaisa ki Nigaah saaHiba ne kaha ki maHboob ke liye yeh zeb nahiiN detaa ki vo apnii maHbooba ke jaur o sitam se nafrat kaa ai'laan kar de. mere Khayaal se aap agar zara sii tarmeem kar deN to is she'r ka Khayaal qaabil e qubool ho jaayegaa. maHboob apnii maHbooba ke jaur o sitam se to bahot maHzooz hotaa hai is she'r ko agar yuN kaheN to kaisa rahegaa:
sitam par sitam ham kiye jaa rahe haiN
to kaise tumheN ham se nafrat na hogii
Hashmat
wah kaise kahoN
Posted: Fri Mar 25, 2005 2:01 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah
TAHIRA SAAHIBAH
purkhuloos tasleemat
aapki ghazal nazar nahi aayi. tabsirah kis per karooN ????
khair andaish
irfan barabankwi
Re: guzaarish # 3
Posted: Fri Mar 25, 2005 2:48 pm
by tahira Masood
nigaah wrote:tahira Masood wrote:
Tahira Sahiba
aap ki Ghazal pasand aayi chand ashaar bilKhusoos achay lagay...aur chand ek per kuch kehna chahooNgi...
matla tou bohut Khoob hai mashAllah...mujhay bohut acha laga....
albatta doosray shair ek Khayaal nay tou choNka diya!!....janaab pehli baar dekha ke sitam per sitam kiye jaanay ki wajeh say koi mehboob say nafrat ka ailaan kar raha ho.....
shair no. 3 aur 4 bhi bohut achay haiN....
aur giraah aap ki!!...SubhanAllah !!....kia Khubsoorat giraah lagai hai janaab aap nay.....bohut hi bay saaKhta aur fitri hai...bohut achay ....dhairoN daad qubool kijye...
shair no.6 aur 7 dono kay pehle misray wazn say Khaarij haiN....dekh lijye ga....
aap ki Ghazal majmooi tor per mujhay pasand aayi ....Khaas tor say giraah...daad aur mubaarakbaad qubool kijye...
Nigaah
Nigaah ji
salaam
aap ki raaey dekhi .
dooseraa shaer hai tau choNkaane waala hi jaanabah ham bhi tau dehlaana hi chaahte haN shock therapy
meri aik ghazal kaa shaer thaa,
teri jafaa k badle meN maiN wafaa nah keroN
ay kaash hotaa mere dil pe ikhtiyaaar mujhe
tau mujhe sab ne tokaa keh jafaa k badle meN wafaa k? cheh m'anee daarad?
maine yehi kehaa thaa keh jisne khud bhi jafaa k badkle jafaa hi kerdi tau phir shikwaah kaisaa? aSal baat tau esi meN hai keh cbaat-0e-qadmee aik teraf tau ho.
magar yehaN maine aik tagahyyur k liay aisaa kiyaa hai kabhikabhi aisee dhamki bhi honee chaahye!! 8)
aakheri dau Ashaar ko suljhaa ker inshallah baa shert-e-waqt daubaarah lagaaoN gee.
aap ki nazr-e-inaayat aur nishaadahi kaa shukeriyaah.
wassalam
Posted: Fri Mar 25, 2005 2:53 pm
by tahira Masood
Hashmat Usmani wrote:salaam Taahira bahna,
ummeed hai ki aapke mizaaj e giraamii ba_Khair hoNge.
aapkii taraHii Gahzal paRhii aur bilaa mubaaliGha har she'r par waah waah muNh se nikaltii chalii gaii. bahot Khoob, bahot umda ash'aar kahe haiN aapne. mazaameen meN bhii vus'at e fikr hai aur andaae bayaan aur zabaan donoN hii nihaayat chust haiN. ek kaamiiyaab Ghazal kahne par is bhaaii kii taraf se mabrook.
Jazak Allah jazaak Allah ham bhi baar baar yehi keh rehay heN. aap ki zerra nawaazi hei moHteram!!!
shukeriyah bhaai Saaheb
jaisa ki Nigaah saaHiba ne kaha ki maHboob ke liye yeh zeb nahiiN detaa ki vo apnii maHbooba ke jaur o sitam se nafrat kaa ai'laan kar de. mere Khayaal se aap agar zara sii tarmeem kar deN to is she'r ka Khayaal qaabil e qubool ho jaayegaa. maHboob apnii maHbooba ke jaur o sitam se to bahot maHzooz hotaa hai is she'r ko agar yuN kaheN to kaisa rahegaa:
sitam par sitam ham kiye jaa rahe haiN
to kaise tumheN ham se nafrat na hogii
Hashmat
eskaa jawaab ham ne nigaah Saheb ko de diya ahai
aap ki raaey aur inaayat kaa bohat bohat shukeriyah
wassalam
dheroN duaoN k saath
Re: wah kaise kahoN
Posted: Fri Mar 25, 2005 2:55 pm
by tahira Masood
irfan barabankwi wrote:mohtaramah
TAHIRA SAAHIBAH
purkhuloos tasleemat
aapki ghazal nazar nahi aayi. tabsirah kis per karooN ????
khair andaish
irfan barabankwi
moHteram
salaam
aapki post dekhi aur abhi tak gahur ker rehi hoN kioNkeh samjhne se qaaSir hoN.
beree-e-mehr baani zera waZaaHat fermaa deN.
wassalam