Page 1 of 1
Aa'lami Mushaa'ira No.52 ke li'ey Ghazal
Posted: Thu Sep 16, 2010 8:50 pm
by Tanwir Phool
- 'ey-1.gif (26.84 KiB) Viewed 2532 times
Re: Aa'lami Mushaa'ira No.52 ke li'ey Ghazal
Posted: Sat Sep 18, 2010 7:25 am
by Nayeem Khan
Jashan duniya mein ... ye sher haqeeqat par mabni hai.
Re: Aa'lami Mushaa'ira No.52 ke li'ey Ghazal
Posted: Sun Sep 19, 2010 7:02 am
by sbashwar
Mohtaram Tanveer Phool Saheb
Bohat achchi ghazal kahi aapne. har sher qabil-e-daad hai.
Mukhlis
Salem Bashwar
Re: Aa'lami Mushaa'ira No.52 ke li'ey Ghazal
Posted: Mon Sep 20, 2010 3:32 am
by Tanwir Phool
Wa alaikumassalaam wa RahmatULLAH wa BarakaatuHu
Bahut bahut shukriyaa Salem Bashwar sb. aur Nayeem
Khan sb.! Pur khuloos daad par aap kaa mamnoon hooN
Re: Aa'lami Mushaa'ira No.52 ke li'ey Ghazal
Posted: Tue Sep 21, 2010 3:36 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Tanweer Phool SaaHib aadaab-o-tasleemaat!
Qawee ummeed hai keh baakhaeriyat hooN ge, khaadim kheriyat se hai.
aap ne jis khulooS-e-be panah ka cuboot faraham karte huwe mushae'rah meN shirkat kee hai, woh bilashubah nihaayat HaoSlah afza amr hai, is iqdaam ke liye aap ka teh-e-dil se mamnoon-o-mutashakkir hooN, aor mujhe yeh bhee ummeed hai keh aap yooN hee aai'ndah bhee apnee shumuliyat se meHfil kee shaan baRhaate raheeN ge,
kalam na Sirf Ganjeenah-e-faSaaHat-o-balaaGhat hai, balkeh Haq goee, be baakee-e-iz^haar aor lehjah ka gudaaz jo keh aap ka makhSooS t^urrah-e-imteyaaz hai, yahee waSf-e-teHreer qaaree ke dil meN daoraan-e-mushaahidah-e-kalam lut^f-e-mut^aalea'h pedah karne ke saath saath zaoq-e-aagahee bhee ujaagar karta hai.
Is meN shubah naheeN keh rooH-e-a'Sr apne iz^haar ke liye hameshah kisee acar angez peraayah-e-aawaaz kee talaash meN rehtee hai, fitrat ne insaan ko quwwat-e-iz^haar aesee na'mat-e-mukhSuSah se nawaaz kar baRa eHsaan kiya hai. jise shaae'ir-o-adeeb apna fareeZ^ah samajhte huwe apnee khalwatooN meN SafaHaH-e-qirtaas par baSoorat-e-ashk fishaanee muntaqil karta hai, aor yooN apne kamaal-e-fan-o-shuguftagee-e-hunar se toHfah-e-daad-o-teHseen pata hai, lehazah aap kee ghazal isee dilfareb a'ks-e- Aai'nah-e-tanaazur meN qaabil-e-Sad daad hai. =D>
Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar
Re: Aa'lami Mushaa'ira No.52 ke li'ey Ghazal
Posted: Sat Sep 25, 2010 11:34 am
by Tanwir Phool
Muhtaram Muzaffar sb. !
Wa alaikumassalaam wa RahmatULLAH wa BarakaatuHu
Zarra nawaazi par tah-e-dil say aap kaa mamnoon hooN ,aap nay bahut tafseel say
izhaar-e-khayaal farmaayaa jis kaa shukriyaa adaa karnay say meri zabaan qaasir
hai.MaiN nay isi tarah maiN Hamd-e-Baari Ta'aalaa bhi post ki hai mulaahiza keeji'ey
aur hamaisha apni khusoosi du'aaoN maiN yaad rakhi'ey,JAZAAKALLAH
Taalib-e-du'aa:Tanwir Phool