Page 1 of 1

jo raheen-e-yaad-e-Habeeb: ek Ghazalجو رہین یاد حبیب ہو: غزل

Posted: Fri Sep 24, 2010 11:57 pm
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-meHfil: aadaab!

Haal hee meN Urdu Anjuman meN t^araH dee gayee hai:

jise tere Gham se ho waast^ah, woh KhizaaN bahaar se kam naheeN

meree koshish pesh-e-Khidmat hai. raaYe aur tabSireh kaa intiz^aar rahe gaa.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
=================
GHAZAL

jo raheen-e-yaad-e-Habeeb ho, to woh shaam shaam-e-alam naheeN
"jise tere Gham se ho waast^ah, woh KhizaaN bahaar se kam naheeN"!

Gham-e-rozgaar kee aaNdhiyaaN kaheeN shame'-shauq bujhaa nah deN
mujhe Khauf gar hai to bas yehee, mujhe aur koyee bhee Gham naheeN

nah woh soz hai,nah woh saaz hai, nah woh kaif-e-naaz-o-niyaaz hai
woh sitam ba-shakl-e-karam naheeN, woh karam ba-raNg-e-sitam naheeN!

wohee ek meraa sawaal hai, wohee ek teraa jawaab hai
too yaqeen kar tiree Khaamshee kisee aur jawaab se kam naheeN!

nah a'dam nah koyee wujood hai, nah kisee kaa koyee shuhood hai
yeh t^lism-e-Zaat usee kaa hai jo aseer-e-Hukm-e-a'dam naheeN!

miree shaan-e-i'shq to dekhiYe keh Khudee meN mujh ko Khudaa milaa
mujhe e'tibaar Khudee kaa hai, mujhe fikr-e-dair-o-Haram naheeN

mujhe muHtaram wohee she'r hai jo raheen Husn-e-aZal ka ho
bhalaa woh bhee SaaHeb-e-she'r kyaa jo ameen-e-lauH-o-qalam naheeN!

miraa she'r raNg-e-mai-e-kuhan, miraa naam :Sarwar:-e-kam-suKhan
miraa kaam Khidmat-e-fikr-o-fan, maiN qateel-e-jaah-o-Hasham naheeN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
=======================

Re: jo raheen-e-yaad-e-Habeeb: ek Ghazalجو رہین یاد حبیب ہو:

Posted: Mon Oct 04, 2010 8:10 pm
by Tanwir Phool
SUBHAANALLAH , bahut khoob
Dilkash kalaam par daad aur
mubaarakbaad qabool keeji'ey

Re: jo raheen-e-yaad-e-Habeeb: ek Ghazalجو رہین یاد حبیب ہو:

Posted: Mon Oct 04, 2010 8:32 pm
by Sarwar A. Raz
Tanwir Phool wrote:SUBHAANALLAH , bahut khoob
Dilkash kalaam par daad aur
mubaarakbaad qabool keeji'ey
janaab Tanwir SaaHeb: aadaab!

daad ke liYe mamnoon hooN. ek aadh din meN aap se raabit^ah karooN gaa.

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Re: jo raheen-e-yaad-e-Habeeb: ek Ghazalجو رہین یاد حبیب ہو:

Posted: Wed Oct 20, 2010 3:45 pm
by azeezbelgaumi
Subhanalla.. Raaz Saheb.. Is khoobsurat kalam par meri daad hazir hai..
Azeez Belgaumi