Page 1 of 1
TaraHi Ghazal (Guz.3). Irfan Barabankwi, Jeddah.
Posted: Mon Mar 21, 2005 4:53 pm
by irfan barabankwi
Muhtaramaat o Muhtarameen
Ahbaab-e-meHfil,
Aadab o Tasleemaat,
Guzarish No.3 ke TaraHi misreA per apni ghazal paish karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustfeed houne kaa mauqaA denge. Shukriyah.
Khair Andesh,
Irfan.
Posted: Tue Mar 22, 2005 4:56 am
by Ibn-e-siddique
Irfan bhai:
salaam arz hai
guz.3 ke teHt aap ki ghazal bahot pasand aayee,
Halaavat hai saari zabaanoN meiN lekin
jo urdu mein hai wo Halaavat na hogi
vaah, bahot khoob, zabaan-e-urdu ki sheereeni-o-Halaavat ki baat hi kuch aur hai :)
is umda ghazal per daad qubool kijiye
amjad
Posted: Wed Mar 23, 2005 3:50 am
by Hashmat Usmani
moHtaram Irfan saaHib,
aapkii Ghazal nazar guzaar huii. aapkii shaa'irii ustaadaanah to hotii hii hai magar is baar aapne qalam kii nok toR dii hai amsha Allah. har she'r dusre she'r par bhaarii hai. yaaN to ek hii misr'e meN jaan nikal jaave hai magar aapne to subHaan Allah ek taveel Ghazal kah daalii. yeh kaar e mushkil ustaad hii 'amal meN laa sakte haiN. mubaarik ho aapkii ek zabardast Ghazal par.
Hashmat
bahut bahut shukriyah
Posted: Fri Mar 25, 2005 2:30 pm
by irfan barabankwi
mohtaram
AMJAD BHAI
adab-o-niyaz
hasb-e-mAmool bahut takheer se aapke tabsirah ka jawab likh raha hoon.
kiya karoN is kam bakht masroofiat ko jo hamesha sosti ke bandhan ko mazboot marne meiN maneA hoti hai. khair ghazal ki pasandeedgi ka bahut bahut shukriyah. aapki ghazal ka muntazir hooN.
khair andaish
irfan barabankwi
bahut bahut shukriyah
Posted: Fri Mar 25, 2005 2:40 pm
by irfan barabankwi
mohtaram janab
HASHMAT USMANI SAAHIB
adab-o-ihtiram
apni mAmooli ghazal per aap ka tabsirah nazar nawaz hua. saahib aap ne to ziyadah hi tareeef kar dali hai. bhai saahib maiN adab ka aik haqeer sa talib-e-ilm hooN aur aapne apni mohabbat meiN mujhe usdaad ki masnad per bitha diya. aapki nawazish ka bahut bahut shukriyah lekin bhai mashmat saahib aap mujhe aik mubtadi shayer hi kah ker pukareN to ziyadah behtar hai. aapki mohabbat aur ghazal ki pazirai ka bahut bahut shukriyah. haN aapki ghazal nazar nahi aaii ? maiN aapki khoobsurat ghazal ka muntazir rahooNga.
khair andaish
irfan barabankwi
bahut bahut shukriyah
Posted: Fri Apr 08, 2005 2:18 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah
SARAH SAAHIBAH
purkhuloss tasleemat
aapka tabsirah aaj nazar nawaz hua. ghazal ki pasandeedgi ka bahut bahut shukriyah.
khair andaish
irfan barabankwi
Posted: Tue Apr 19, 2005 2:21 am
by najma
bohat khoob kalaam ataa farmaya hay aapne
dhroN daad qubool kijiye irfan barabankwii sahib!
Re: TaraHi Ghazal (Guz.3). Irfan Barabankwi, Jeddah.
Posted: Thu Jun 02, 2005 11:24 am
by Anmol
irfan barabankwi wrote:
Muhtaramaat o Muhtarameen
Ahbaab-e-meHfil,
Aadab o Tasleemaat,
Guzarish No.3 ke TaraHi misreA per apni ghazal paish karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustfeed houne kaa mauqaA denge. Shukriyah.
Khair Andesh,
Irfan.
Adaab
Irfan Sahib!
Aap ne likha k aap apni ghazal pesh kar rahay heN? To naam to Nazir Sahib ka likha hay ghazal ke image per?
Behrkaif, ghazal bohot khoob hay, daad qubool kijiye.
bahut bahut shukriyah
Posted: Fri Jul 15, 2005 11:40 am
by irfan barabankwi
mohtaramah
NAJMA SAHIBAH
salam
bahut dino baad aaj jab is mehfil meiN aaya to aapka tabsirah nazar se
guzrah. aap soch rahi hoNgi ke maiN kitnah maghroor insan hooN ke aapki post ka jawab bhi nahi likha. lekin aisi baat nahi hai. maine dar asl is taraf aana hi chhor diya tha lehazah yah tabsirah ya aur dontoN ke
tabsireh bhi nahi dekh saka. khair ghazal ki pasandeedgi ka bahut bahut
shukriyah. ummeed hai ke naraz nahi hoNgi aur ayendah bhi aapni aara se nawazeiNgi. shukriyah
khiar andaish
irfan barabankwi
bahut bahut shukriyah
Posted: Fri Jul 15, 2005 11:48 am
by irfan barabankwi
mohtaramah
ANMOL SAAHIBAH
salam-e-khuloos
aik muddat ke baad is mehfil meiN phir aana hua hai. aaj aapka tabsirah
nazar nawaz hua. bahut bahut shukriyah. jahaNtak ghazal per nazir saheb ke naam ki baat hai to iski wazahat bhi zahoori hai. bat dar asl yeh hai ke meri saari ghazleIn mohtaram nazir saahib hi post kerte haiN. shayad unhoNe apne purane frame meiN meri ghazal pesh kar di thi aur naam tabdil karna bhool gaye jo aaki ghalat fahmi ka bayes bani.
aapke tabsirah ka bahut bahut shukriyah. ummeed hai ke aap pehle ki tarah apni nwazishoN meiN mujh ko yaad rakheiNgi. shukriyah.
ab subke jawbat waqt per deney ki koshish karoNga .
khair andaish
irfan barabankwi
irfan barabakwi
Posted: Sat Jul 16, 2005 9:04 am
by Mahtab Qadr
bahut sahi farmaya Irfan sahib aapne ,waqai is baat ka bahut imkaan hai .munasib hota ke Mohatram Abdullah Nazir sahib bhi wazahat farmadete. shukria
Mahtab Qadr