Page 1 of 1

Guzarish#53 mah-e-Nov 2010 ke liye tarHee miSra'!

Posted: Tue Nov 02, 2010 4:05 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!


GuZarish#53 mah-e-Nov 2010 ke liye miSrah-e-tarH pesh-e-khidmat hai, jise deewaan-e-Khuwajah Haidar Ali "Atish" se muntakhib kiya geya hai, mulaHiZah keejiye.


"kahaN kahaN NaheeN maiN teree dastaaN sunta"


Qafiye: dastaaN, mehrbaaN, razdaaN, AasmaN waGhaerah.


radeef: suntaa.


BeHer kee is shakl ko beHer-e-mujtaC makhboon meHZoof maqt^a' kehte haiN.


afae'il: mu faa e' lun.....fa e' laa tun.....mu faa e' lun.....fao' lun
=1212.......1122........1212........22
=//0//0.......///0/0......//0//0....../0/0


tamaam SaaHibaan-e-qalam se shirkat kee apeel kee jaatee hai,


mutamanniy-e-shirkat
intezaamiyah UrduBandhan
[/size]

Re: Guzarish#53 mah-e-Nov 2010 ke liye tarHee miSra'!

Posted: Fri Nov 05, 2010 2:30 pm
by sbashwar
Sho'ara karam se guzarish hai Muzaffar Saheb ke diye gaye tarhi misra par apni shirkat se is moshaire ko kamyab kareN.

Re: Guzarish#53 mah-e-Nov 2010 ke liye tarHee miSra'!

Posted: Sat Nov 06, 2010 3:11 am
by Tanwir Phool
MaiN nay apni ghazal paish kar di hai
Mulaahiza farmaai'ey,shukriyaa
Sab ko salaam