Page 1 of 1
Re: Ghazal baraa'ay Mushaa'ira # 53 urdubandhan
Posted: Mon Nov 08, 2010 10:44 am
by aabarqi
Re: Ghazal baraa'ay Mushaa'ira # 53 urdubandhan
Re: Ghazal baraa'ay Mushaa'ira # 53 urdubandhan
Posted: Mon Nov 08, 2010 2:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Dr, Barqi SaaHib aadaab-o-tasleemat!
mushae'irah meN aap kee shirkat hameshah se ham sabhee ke liye khushee aor iftekhaar ka baae'ic rahee hai, Allah aap ke faeZaan-e-qalam ko mazeed taqwiyat a'taa farmae aor aap ko SeHat-o-salaamatee se rakhe. Aameen!
Aapkee shaae'ree ke mutalea'ah ke daraan jis baat ka eHsaas shiddat se paedah hota hai woh aap kee she'eree rawayat se wabastagee hai yahee wajah hai keh aap ke kalam meN jazbaat ka be saakhtah izhaar aor kheyaayaat-o-alfaaz kee fil badeehih pewand kaaree miltee hai, jis meN shikast-o-reekht ke u'nwaan aor firaaq-e-yaar ke asbaab-o-ittifaqaat bhee pae jate haiN, jin meN bala kee sha'ooree kaawish is andaaz meN a'mal paera hai keh gaoyaa aap kee zehnee baaZ aafareenee ne a'meeq mushaahidah-e-zindagee se mil kar she'r-o-kheyaal kee laazawaal qandeeleeN raoshan kar deeN haiN.
GharaZ jalwah-e-Husn-o-jamaal aor mushaahidah-e-Zeest ne aesee iZtiraabee kaifit paedah kar rakhee hai jis ne quwwat-e-izhaar ko baam-e-u'rooj par phonchaa kar hee dam liya hai.
hamsaayah chaopal par bhee yahee miSra' tarH kiya geya hai, waqt mile to Ghazal wahaN bhee shaae' farma deN.
dilee daad-o-mubaral baad qubool keejiye. =D>
Muzaffar AHmad
Re: Ghazal baraa'ay Mushaa'ira # 53 urdubandhan
Posted: Tue Nov 09, 2010 5:44 am
by Tanwir Phool
SUBHAANALLAH , bahut khoob !
Daad aur dili mubaarakbaad qabool keeji'ey
Re: Ghazal baraa'ay Mushaa'ira # 53 urdubandhan
Posted: Tue Nov 09, 2010 7:19 am
by aabarqi
Mohtaram Muzaffar Sb/Janab Tanwir Phool Bhai
Aadaab
Aap logoN ne az roo e shfqat tabsera karte waqt mujhe is taraf mutawaajah nahiN kiya ki main ne ghair shoori taur par misrah tarah mein tasarruf kiya hai.MaiN mail dekh kar misrah tarah ujlat meiN jis tarah note kiya tha usi zameen meiN tab'aaazmaai kar baitha.Meri is faroguzasht ke baad bhi aao logoN ne mujhe daad o tahseen se nawaaza aur dil nawaazi ka suboot diya jis ke liye maiN aap logoN ka marhoon e minnat hooN.maiN ne tajdeed e nazar ke baad dosari ghazal post kar di hai jo aap ki tawajjuh ki talib hai.
Aap logoN ki paiham nawazisheiN aur hausala afzaaii mujhe mazeed tab'a aazmaai ka hausala ataa karti hai jo mere liye ba'is e iftekhar hai jis ke liye sameem e qalb se sepaasguzaar hooN.
Mukhlis
Barqi Azmi
Re: Ghazal baraa'ay Mushaa'ira # 53 urdubandhan
Posted: Thu Nov 11, 2010 1:02 am
by Tanwir Phool
Aap kee yeh ghazal bhi bahut shaan daar hai
Daad aur dili mubaarakbaad qabool keeji'ey
aur du'aaoN maiN yaad rakhi'ey