Page 1 of 1

urdubandhan ki Mushira #53 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Tue Nov 09, 2010 7:02 am
by aabarqi
urdubandhan ki Mushira #53 ke liye Tarhi Ghazal:Barqi Azmi

Re: urdubandhan ki Mushira #53 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Tue Nov 09, 2010 10:19 am
by sbashwar
Dr Ahmed Ali Barqi Azmi Saheb
:salaam2:

misra tarh par aap ke donoun ghazlein khoob hain.
Dili daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: urdubandhan ki Mushira #53 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Sat Nov 27, 2010 6:17 pm
by sfaseehrabbani
محترم جناب برقی صاحب!
اس خوبصورت غزل پر دلی داد قبول کیجیے۔
بہت خوش رہیے۔
[/b]

Re: urdubandhan ki Mushira #53 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Tue Nov 30, 2010 4:26 am
by Tanwir Phool
SUBHAAN ALLAH ,bahut khoob
Aap ki donoN ghazlaiN shaandaar haiN
Daad aur dili mubaarakbaad qabool keeji'ey

Re: urdubandhan ki Mushira #53 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Wed Dec 01, 2010 7:33 am
by azeezbelgaumi
Barqi saheb .... aap ka jawab nahiN... salamat raheN

Re: urdubandhan ki Mushira #53 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Mon Dec 27, 2010 1:32 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar

moHtaram Dr, Barqi SaaHib aadaab-o-tasleemat!

mushae'irah meN aap kee shirkat hameshah se ham sabhee ke liye khushee aor iftekhaar ka baae'ic rahee hai, Allah aap ke faeZaan-e-qalam ko mazeed taqwiyat a'taa farmae aor aap ko SeHat-o-salaamatee se rakhe. Aameen!

Aapkee shaae'ree ke mutalea'ah ke daraan jis baat ka eHsaas shiddat se paedah hota hai woh aap kee she'eree rawayat se wabastagee hai yahee wajah hai keh aap ke kalam meN jazbaat ka be saakhtah izhaar aor kheyaayaat-o-alfaaz kee fil badeehih pewand kaaree miltee hai, jis meN shikast-o-reekht ke u'nwaan aor firaaq-e-yaar ke asbaab-o-ittifaqaat bhee pae jate haiN, jin meN bala kee sha'ooree kaawish is andaaz meN a'mal paera hai keh gaoyaa aap kee zehnee baaZ aafareenee ne a'meeq mushaahidah-e-zindagee se mil kar she'r-o-kheyaal kee laazawaal qandeeleeN raoshan kar deeN haiN.

GharaZ jalwah-e-Husn-o-jamaal aor mushaahidah-e-Zeest ne aesee iZtiraabee kaifit paedah kar rakhee hai jis ne quwwat-e-izhaar ko baam-e-u'rooj par phonchaa kar hee dam liya hai.

hamsaayah chaopal par bhee yahee miSra' tarH kiya geya hai, waqt mile to Ghazal wahaN bhee shaae' farma deN.

dilee daad-o-mubaral baad qubool keejiye. =D>

Muzaffar AHmad