Page 1 of 1

Kalam-e- Azim Rahi !!!!!!!

Posted: Tue Nov 09, 2010 9:31 am
by Azim Rahi
EID KI PESHGI MUBARAK BAAD !!
(NAZM)

In Tarraqtay Naheef Kaan'dhon Per,
Apnay Kumbay Ka Bojh Dhota Hun,
Aur Jab Dil Ka Bojh Barhta Hai,
Biwi, Bach'chon' Say Chup K Rota Hun,
Zabt-e-Gham Ki Nahin Koi Me'aad,
Eid Ki Peshgi Mubarak Baad !

Bujhti Aankhain, Suta Hua Chehra,
Yehi Anjaam-e-Sakht Koshi Hai,
Jorta Hun Raqam Kafan K Leay,
Yehi Asl-e-Safaid Poshi Hai,
Her Tag-o-Do Ki Hai Yehi Bunyaad,
Eid Ki Peshgi Mubarak Baad !

Seetiaan' Baj Rahi Hain Kaanon' Mein,
Siskioon' Aur Thandi Aahon' Say,
Eid Ka Chand Kia Nazar Aaey,
Dab-dabaati Hui Nigahon' Say,
Arz Be-nutq, Be-sada Irshaad,
Eid Ki Peshgi Mubarak Baad !

Keh Rahi Hai Zaban-e-Haal Miri,
Main Nay Ki Hai Tarraqi-e-Ma'koos,
Roz Chupta Hun Qarz Khahon' Say,
Kaisay Banwaoon' Khush-numa Malboos,
Her Zaroorat Hai Baanjh, Be-ejaad,
Eid Ki Peshgi Mubarak Baad !

Thak Gaya Hai Mira Rafugar Bhi,
Yun Udharta Hai Chaak Sil Sil Ker,
Kehtay Hain Eid Hans K Miltay Hain,
Main Agar Ro Para Galay Mil Ker,
Mujh Ko Is Rasm Say Rakkho Aazaad,
Eid Ki Peshgi Mubarak Baad !

Aik Patthar Hai Meray Seenay Mein,
Ya Dil-e-Na'saboor Rakhta Hun,
Eid Per Khush Libaas Bach'chon' Say,
Apnay Bach'chon' Ko Door Rakhta Hun,
Aap Hi Said Aap Hi Sayyaad,
Eid Ki Peshgi Mubarak Baad !

Eid K Din Kahin Nikaltay Nahin,
Main, Miri Ahlia, Miri Aulaad,
Is Leay Doston Ki Khidmat Mein,
Eid Ki Peshgi Mubarak Baad !

Khush Rahain Sab Ba-qadr-e-Iste'daad,
Eid Ki Peshgi Mubarak Baad !!

Azim Rahi

Re: Kalam-e- Azim Rahi !!!!!!!

Posted: Tue Nov 09, 2010 10:21 am
by sbashwar
Aapki nazm bohat achchi hai.
Allah sabko eid pur massarrat bana de. ameen.

Re: Kalam-e- Azim Rahi !!!!!!!

Posted: Tue Nov 09, 2010 7:07 pm
by Azim Rahi
Toota To Ye Khula Hai K Ik Aainaa Tha Main,
Kia Soch Ker Chataan Ki Soorat Khara Tha Main !

Deewar-e-Zeest Per Kisi Tasveer Ki Tarha,
Her Ahd-e-Khamshi Mein Sajaya Gaya Tha Main !

Yunhi Nahin Hai Dasht-Nawardi Ka Silsila,
Bachpan Mein Nangay Pau'n Bohat Bhagta Tha Main !

Aankhon Mein Aa-gaeen Theen Bala Ki Sama'atain,
Khamosh Tha Wo Shaks Magar Sun Raha Tha Main !

Teray Labon Ki Aanch Nay Jisko Jaga Dia,
Us Jazba-e-Lateef Say Na-Aashna Tha Main !

Zoq-e-Namood, Jor-e-Khizan' Say Na Kam Hua,
Sehn-e-Chaman Say Door Kahin Khil Raha Tha Main !

Taareekh-e-Dehr Meray Amal Per Muheet Hai,
Ik Razm-e-Khair-o-Shar Ka Ajab Majara Tha Main !

Azim Rahi

Re: Kalam-e- Azim Rahi !!!!!!!

Posted: Wed Nov 10, 2010 12:55 am
by Tanwir Phool
SUBHAANALLAH , bahut khoob !
BaRa pur asar kalaam hai
Daad aur dili mubaarakbaad

Re: Kalam-e- Azim Rahi !!!!!!!

Posted: Sat Nov 13, 2010 12:01 pm
by Azim Rahi
Waqt Sab Say Bara Fusoon'-gar Tha,
Mur K Dekha To Shehr Patthar Tha !

Kuch Na Man'ga Kabhi Muqaddar Say,
Ye Bhi Shayad Mira Muqaddar Tha !

Dhoop Ki Kaj-adaiyyan' Mat Pooch,
Mera Saya Mirey Brabar Tha !

Tu Nay Kyun Mujh Ko Pyaar Say Dekha,
Main Tiri Be-rukhi Ka Khugar Tha !

Saaniha Teri Be-wafai Ka,
Meray Wehm-o-Guman' Say Bahar Tha !

Haar Janay Say Kuch Nahin Hota,
Wo Bahar-haal Mujh Say Bartar Tha !

Aalam-e-Tishnagi Na Pooch Azeem,
Aik Qatra Mujhay Samudar Tha !

Azim Rahi

Re: Kalam-e- Azim Rahi !!!!!!!

Posted: Sat Nov 13, 2010 12:03 pm
by Azim Rahi
Ik Guzartay Huay Lamhay Ki Tarah,
Hum Bhi Hotay Hain Na Honay Ki Tarah !

Apnay Ashkon Ko Chupa Rakkha Hai,
Ghar Say Bhagay Huay Bach'chay Ki Tarah !

Umr Bhar Meray Ta'aqqub Mein Raheen,
Teri Yaadain Mirey Saey Ki Tarah!

Aik Lamhay Mein Badal Jati Hai,
Meri Qismat Tirey Lehjay Ki Tarah !

Uski Aadat Hai K Milta Hai Mujhay,
Khail K Aakhri Lamhay Ki Tarah !

Shum-e-Ahsaas Pe Raqsaan' Hun Azeem,
Aik Majboor Patangay Ki Tarah !

Azim Rahi

Re: Kalam-e- Azim Rahi !!!!!!!

Posted: Sat Nov 13, 2010 12:13 pm
by Azim Rahi
Agar Dil Bhar Gaya Hai Dosti Say,
Churalo Apna Haath Aahistagi Say !

Faqat Ik Neend Main So Ker Utha Hun,
Dar-o-Deewar Hain Kyun Agnabi Say !

Mujhay Tum Apni Mehfil Say Uthado,
Ulajhta Hun Yahan Main Her Kisi Say !

Karun Kia Tazkira Mehroomion' Ka,
Bohat Hai Jo Mila Hai Zindagi Say !

Mubarak Ho Tulu-e-Subh Tum Ko,
Mujhay Dar Lag Raha Hai Roshni Say !

Wo Meer-e-Karwaan' Ab Ban Gaey Hain,
Jinhain Manzil Mili Hai Gum rhi Say !

Kisi Ki Baat Kab Sunta Hai Rahi,
Kahun Kia Main Ab Aisay Aadami Say !

Azim Rahi

Kalam-e- Azim Rahi !!!!!!!

Posted: Sun Nov 14, 2010 10:02 am
by Azim Rahi
Bhool Janey Say Bhi Thak Jao Gay Kia,
Yaad Aanay Say Bhi Thak Jao Gay Kia !

Gahey Gahey Tum Khayal-o-Khaab Mein,
Aanay Janay Say Bhi Thak Jao Gay Kia !

In Labon Ki Nazuki Apni Jaga,
Muskuranay Say Bhi Thak Jao Gay Kia !

Chahtay Rehna Bohat Dushwaar Hai,
Chahay Janay Say Bhi Thak Jao Gay Kia !

Pursish-e-Ahwaal K Parday Mein Tum,
Dil Dukhanay Say Bhi Thak Jao Gay Kia !

Ban Nahin Saktay Jo Meray Hum-nawa,
Gungunanay Say Bhi Thak jao Gay Kia !

Meray Honton Say Tabassum Cheen Ker,
Ab Rulanay Say Bhi Thak Jao Gay Kia !

Thak K Rahi Rh-guzaar-e-Shoq Mein,
Beth Janay Say Bhi Thak Jao Gay Kia !

Azim Rahi