Page 1 of 1

TaraHi Ghazal (Guz.3). Irfan Barabankwi, Jeddah.

Posted: Wed Mar 23, 2005 3:47 pm
by irfan barabankwi

MuHtaramaat o MuHtarameen
AHbaab-e-sukhan,

Aadaab o Tasleemaat,

Guzarish No.3 ke TaraHi misreA per apni ghazal paish karte houe khushi mehsoos karrahaa hooN. Ummeed ke aap apn giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA denge.

Note: (Is se pahle bhii post kiyaa thaa lekin ur per Abdullah Nazir Saahib kaa nam unki typing mistake ki vajah se reh gayaa thaa jisko durust karke wo dobaarah post karrahe heiN)

Khair Andesh,
Irfan Barabankwi, Jeddah,


Posted: Mon Aug 22, 2005 11:24 am
by Raji
MoHtaram janab-e-Irfan Barabankwi SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemat,

Bohat arse ba’ad iss bazm kee taraf aana hoovaa aap kee yeh t^araHee ghazal daikh kar bohat khushii hoovii. Tamam hee ashaar bohat ache heN khaS kar maqta mujhe bohat pasand aaya hai.
Meree janib se ek behtereen taraHee ghazal pesh karne par dille daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam
Zahida Raees :Raji:

shukriyah

Posted: Fri Aug 26, 2005 3:02 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah

ZAHIDAH RAJI SAAHIBAH

purkhuloos taslimat

aaj bahut dino baad is taraf aana hua to aapka maktoob nazar nawaz hua.
ghazal ki pasandeedgi ka bahut bahut shukriyah. maiN apni masroofiat ke bayes bahut hi kam internet per aa pata hooN lihazah aapke khat ka jawab bhi takheer se de raha hooN. ummeed hai ke mind nahi kareiNgi.

khair andaish

irfan barabankwi