Page 1 of 1

Shukr Hai Roz Nahanay Ka Mujhay Shoq Nahin !!

Posted: Sat Nov 13, 2010 12:07 pm
by Azim Rahi
Soey Fitnay Ko Jaganay Ka Mujhay Shoq Nahin,
Raat Ko Dair Say Aanay K Mujhay Shoq Nahin !

Sar Jhuka'ay Huay Baitha Hun Main Begum K Huzoor,
Khamakhan' Rob Jamanay Ka Mujhay Shoq Nahin !

Meri Awaz, Meri Shakl Hi Kuch Aaisi Hai,
Warna Bach'chon ko Daranay Ka Mujhay Shoq Nahin !

Rok Sakta Hun Burai Ko Panapnay Say Magar,
Aaisi Takleef Uthanay Ka Mujhay Shoq Nahin !

Baat Nikli To Khuli Hai Teri Auqaat Aay Dost,
Warna Ahsaan Jatanay Ka Mujhay Shoq Nahin !

Pura Deewan Suna Ker Hi Tasalli Hogi,
Aik Do Shair Sunanay Ka Mujhay Shoq Nahin !

Fe-Zamana Hai Isay "Art" Ka Darja Haasil,
Warna Bay Par Ki Uranay Ka Mujhay Shoq Nahin !

Kitnay Bach'chay Hain Meray, Umr Hai Kia, Naam Hai Kia,
Itni Tafseel Mein Janay Ka Mujhay Shoq Nahin !

Doob Marnay Ko Mayassar Nahin Paani Rahi,
Shukr Hai Roz Nahanay Ka Mujhay Shoq Nahin !

Azim Rahi

Re: Shukr Hai Roz Nahanay Ka Mujhay Shoq Nahin !!

Posted: Mon Nov 15, 2010 5:01 am
by sbashwar
Aadat se majboor hain kisi ko shoq nahin :grin:

Re: Shukr Hai Roz Nahanay Ka Mujhay Shoq Nahin !!

Posted: Mon Dec 27, 2010 8:06 am
by Shummu
hahaha bahut khoob...aaj bahut zamaane baad idhar aana hua aur nazar aap ke mazaahiya kalaam pe paRi...hansi rok na saki... daad pesh hai :grin:

Re: Shukr Hai Roz Nahanay Ka Mujhay Shoq Nahin !!

Posted: Thu Dec 30, 2010 7:00 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mohtaram Azim Rahi SaaHib adaab! :lol:

kiya kehne khubSurat :hazal: dil khush ho geya daad pesh-e-khidmat hai.

Muzaffar

Re: Shukr Hai Roz Nahanay Ka Mujhay Shoq Nahin !!

Posted: Fri Dec 31, 2010 4:00 am
by muhammad_19k
واہ واہ