Page 1 of 1

Waqt ki aankh say daikho to yeh bahut puraani lagti hai

Posted: Fri Dec 03, 2010 6:54 pm
by Brijinder
Waqt Ki aankh se deykho tu yeh baat Puraani lagti hai
Teray meray Piyar ki baatein ab aik kahani lagti hai

Meray Dil ki ragh ragh mein wo lahoo ban k behti hai
Larki Jo Nadaan kabhi aur kabhi Siyaani lagti hai

Ahad-e wafa per mein nay guzara jeewan apna tanha tamaam
Hairan Diloun ko shayd yeh soach deewanai lagti hai

kehnay Ko gar kuch na paaO daal do baat mein paich O Kham
jo baat yahaaN samjh na aa-ay wo sab ko Rohaani lagti hai

Uss se bhar kar houn gay bey shak Duniya mein haseen hazar
*Sagar* laikin achhi mujh ko woh marjaani lagti hai

Re: Waqt ki aankh say daikho to yeh bahut puraani lagti hai

Posted: Sat Dec 04, 2010 5:18 am
by sbashwar
MoHtaram Brinder SaHeb
Aadaab

Lagti hai ki radeef ki aapki ghazal pasand aayee.
Daad pesh hai.

Mukhlis
Salem Bashwar