Page 1 of 1
TARAHI GHAZAL(GUZ #3)by: ABDULQAYYUM SAHIL, Jeddah.
Posted: Sat Mar 26, 2005 3:36 pm
by abdulqayyum sahil
MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-Sukhan,
Aadaab o Tasleemaat,
Guzarish 3 ke TaraHi misreA per apni ghazal pesh karte houe khushi mehsoos karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaras se mustafeed houne ka mauqaA denge.
Khair Andesh,
Sahil.
Posted: Tue Mar 29, 2005 5:21 am
by Hashmat Usmani
salaam SaaHil saaHib,
ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge. aapkii Ghazal nazar guzaar huii. paRh kar bahot lutf aayaa aur har ek she'r par be_saaKhta muNh se nikli.
aapke kalaam meN ustaadaana rang hai aur yaqeenan aap ek manjhe huye shaa'ir haiN. masha Allah.
Saara kii taraH mujhe bhi yeh ash'aar bahot hii ziyaada pasand aaye. subHaan Allah, marHaba, waah!
libaas-e-riyaa mN 'baadat na hogii
jahannam pe ta'meer jannat na hogii
maseeHaa mire sirf chehre se paRh le
bayaaN lafz meN dil kii Haalat na hogii
hamiiN shehr meN apne haiN ajnabii se
kahaaN shohrat-e-sar-o-qaamat na hogii
jo hai baaGh-e-shehr-e-muHabat meN, "SaaHil!"
fazaa yuuN kahiiN Khoob_soorat na hogii