Page 1 of 1
mushaaErah # 53 meN likhee jaane waalee ek kaavish e khayaal
Posted: Mon Jan 03, 2011 4:48 am
by ismail ajaz
mushaaErah # 53 meN likhee jaane waalee ek kaavish e khayaal
baad az aadaab o tasleemaat ke
arz kiya hai
Sadaa'eN meree bhee ay kaash yeh jahaaN suntaa
kahaanee mujh se ko'ee meraa qadrdaaN suntaa
jahaaN bhee jaataa hooN teraa hee Zikr hotaa hai
"kahaaN kahaaN naheeN maiN teree daastaaN suntaa"
zameeN peh raNj o alam kee pukaar hai har soo
najaane kyuN naheeN ulfat kaa aasmaaN suntaa
hawaa ke saath jahaaN sarsaraate patte hoN
guloN kee bolii naheeN ko'ee phir wahaaN suntaa
sabhee haiN zeest ke saagar meN Doobe Doobe se
Sadaa kisee kee naheeN ko'ee hai yahaaN suntaa
chalaa bhee aa mire humdamm kahaaN chhupaa hai tuu
siwaa'ey tere miree ko'ee hai kahaaN suntaa
zamaanah baaz naheeN aataa chaal chalne se
"Khayaal" dil bhee naheeN waqt kee zubaaN suntaa
Ismail Ajaz Khayaal
Re: mushaaErah # 53 meN likhee jaane waalee ek kaavish e kha
Posted: Mon Jan 03, 2011 12:01 pm
by sbashwar
achchi ghazal hai. daad pesh hai.
Re: mushaaErah # 53 meN likhee jaane waalee ek kaavish e kha
Posted: Tue Jan 04, 2011 10:55 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Ismail Ajaz Khayaal SaaHib aadaab-o-tasleemaat!
Ummeed hai keh aap khuda ta'ala ke faZl se baakhaeriyat hooN ge. neyaa saal mubarak ho. aaj hi aap kee yeh khubSurat Ghazal dekhee hai. jo keh Guzarish 53 ke liye kahee gaee hai. sabhee asha'aar dilkash haiN.
Ghazal ke maedaan meN yooN lagta hai keh aap ne apnee lafziyaat aor apna maHool khud maZ^ea' kiya hai. kalam meN aa'temaad kee gooNj Saaf sunaee detee hai. asha'aar kee dilkashee aor ra'naee-e-kheyaal qaabil-e-ta'reef hai. so meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad-o-mubarak baad qubool keejiye.
ummeed hai keh agle mushae'rah ke liye bhee apnee Ghazal se nawazeeN ge.
Wassalam
Muzaffar AHmad
Re: mushaaErah # 53 meN likhee jaane waalee ek kaavish e kha
Posted: Tue Jan 04, 2011 5:56 pm
by ismail ajaz
sbashwar wrote: achchi ghazal hai. daad pesh hai.
janaab moHtaram "sbashwar" SaaHeb
salaam pesh khidmat hai
aap kaa beHad shukriyah ,apnee duaa'oN meN yaad rakhiye
wassalaam
Ismail Ajaz Khayaal
Re: mushaaErah # 53 meN likhee jaane waalee ek kaavish e kha
Posted: Tue Jan 04, 2011 6:02 pm
by ismail ajaz
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Ismail Ajaz Khayaal SaaHib aadaab-o-tasleemaat!
Ummeed hai keh aap khuda ta'ala ke faZl se baakhaeriyat hooN ge. neyaa saal mubarak ho. aaj hi aap kee yeh khubSurat Ghazal dekhee hai. jo keh Guzarish 53 ke liye kahee gaee hai. sabhee asha'aar dilkash haiN.
Ghazal ke maedaan meN yooN lagta hai keh aap ne apnee lafziyaat aor apna maHool khud maZ^ea' kiya hai. kalam meN aa'temaad kee gooNj Saaf sunaee detee hai. asha'aar kee dilkashee aor ra'naee-e-kheyaal qaabil-e-ta'reef hai. so meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad-o-mubarak baad qubool keejiye.
ummeed hai keh agle mushae'rah ke liye bhee apnee Ghazal se nawazeeN ge.
Wassalam
Muzaffar AHmad
moHtaram janaab Muzaffar Ahmad Muzaffar SaaHeb
salaam arz hai
aap ke yeh qeemtee jumle mujh mubtadee o shEr o adab se ilmee aitbaar se naabalad shaKhS ke liye aizaaz o iftiKhaar se kam naheeN haiN,mujhe aap ne beHad izzat ataa farmaa'ee hai ,maiN aap aiHbaab se hee seekhtaa hooN aur apne andaaz meN arz e Khidmat kar detaa hooN
Allah aap ko duniyaa o aaKhirat kee izzateN ataa farmaa'ey,maiN insha Allah aap aiHbaab kee Khidmat meN Haazir hotaa rahooN ga,apnee duaa'oN meN yaad rakhiye
niyaazmand
Ismail Ajaz Khayaal