Page 1 of 1

Khayaal urdubandhan MushaaErah # 54

Posted: Tue Jan 04, 2011 7:26 pm
by ismail ajaz
tarHee Ghazal urdubandhan MushaaErah # 54 ke liye Khayaal Sirf 15 minut meN dil kee aawaaz par taba aazmaa'ee kar ke aap tak pohNchaane ke liye Haazir e Khidmat hai

ko'ee iss qaleel waqt meN likhee ga'ee taiHreer meN kamee dikhaa'ee de tow zaroor iSlaaH farmaa'iye

arz kiya hai


lage gaa waqt Zaraa mujh ko abb bhulaane ko
keh tum ne chheR diyaa phir se hai fasaane ko

kitaab e zeest kaa har lafz maiN ne kaih Daalaa
"rahaa nah lab peh ko'ee maajraa sunaane ko"

maiN apne baare meN sab kuchh bataa bhee dooN tab bhee
yaqeen kyuN naheeN aataa hai abb zamaane ko

tumhaaree baatoN ke nashtar tow Sirf chubhte haiN
uThaa ke maar dow patthar bhee iss deewaane ko

kalejah chhalnee huwaa jaataa hai miraa lowgo
kaho tow cheer ke dil dooN tumheN dikhaane ko

kabhee tow pyaar kee nazroN se dekh lo yaaro
tamaam zindagee tum par hee hai luTaane ko

"Khayaal" bhee tow tumhaare hee jaisaa insaaN hai
milaa wohee hai tumheN har ghaRee sataane ko

Ismail Ajaz Khayaal

Re: Khayaal urdubandhan MushaaErah # 54

Posted: Wed Jan 05, 2011 6:04 am
by sbashwar
MoHtaram Ismail Ajaz Khayaal Saheb
Asslam Alaikom

maiN apne baare meN sab sach bataane lagtaa hooN
yaqeen phir bhee naheeN aataa hai zamaane ko

Qaleel muddat mein ghazal achchi zaroor likhe hain.
Meri dheroun daad pesh hai.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: Khayaal urdubandhan MushaaErah # 54

Posted: Wed Jan 05, 2011 7:35 am
by ismail ajaz
sbashwar wrote:MoHtaram Ismail Ajaz Khayaal Saheb
Asslam Alaikom

maiN apne baare meN sab sach bataane lagtaa hooN
yaqeen phir bhee naheeN aataa hai zamaane ko

Qaleel muddat mein ghazal achchi zaroor likhe hain.
Meri dheroun daad pesh hai.

Mukhlis
Salem Bashwar

janaab moHtaram Salem Bashwar SaaHeb

salaam aap kee Khidmat meN ,HauSlah afzaa'ee ke liye shukrguzaar hooN

mundarjah baalaa shEr aur baqiyaah ash'aar bhee kuchh tabdeel kar diye haiN maiN ne, iss shEr kee Haaliyah shakl abb kuchh yuN hai

maiN apne baare meN sab kuchh bataa bhee dooN tab bhee
yaqeen kyuN naheeN aataa hai abb zamaane ko

agar ko'ee qaabil e iSlaah paihloo ho meree iss taiHreer meN tow zaroor raihnumaa'ee farmaa'iye
niyaazmand

Ismail Ajaz Khayaal

Re: Khayaal urdubandhan MushaaErah # 54

Posted: Thu Jan 06, 2011 8:52 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Ismail Ajaz Kheyaal SaaHib tasleemaat! :-)

mushae'rah mah-e-rawaN ke liye aap kee ghazal dekh kar dilee musarrat huee keh aap ne itnee jaldee meN itnee khubSurat ghazal keh kar shaae' bhee kar dee. is baat ke liye alag se daad =D>

Ghazal apnee saadagee aor nifaasat-e-kheyaal kee wajah se dil meN atartee jaatee hai. aap ne kisee maqaam par bhee apnee usloob-e-khaaS ka daaman haath se naheeN jaane diya. aor baRee rawaanee aor salaasat se aek khubSurat ghazal a'taa kee hai. bilashubah takhai'yul ne Sana'at ke jaohar dikhaae haiN, aor alfaaz ne ma'Soom kheyaalaat ko paekar bakhshaa hai, daoraan-e-muta'aleah ghazal dil-o-dimaagh ko kaef-o-mastee se bhar detee hai. Allah kare Zaor-e-qalam aor zeyaadah!



mushae'rah meN aap kee shumuliyat ke liye be Had mamnoon hooN.

Muzaffar AHmad

Re: Khayaal urdubandhan MushaaErah # 54

Posted: Thu Jan 06, 2011 5:06 pm
by ismail ajaz
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Ismail Ajaz Kheyaal SaaHib tasleemaat! :-)

mushae'rah mah-e-rawaN ke liye aap kee ghazal dekh kar dilee musarrat huee keh aap ne itnee jaldee meN itnee khubSurat ghazal keh kar shaae' bhee kar dee. is baat ke liye alag se daad =D>

Ghazal apnee saadagee aor nifaasat-e-kheyaal kee wajah se dil meN atartee jaatee hai. aap ne kisee maqaam par bhee apnee usloob-e-khaaS ka daaman haath se naheeN jaane diya. aor baRee rawaanee aor salaasat se aek khubSurat ghazal a'taa kee hai. bilashubah takhai'yul ne Sana'at ke jaohar dikhaae haiN, aor alfaaz ne ma'Soom kheyaalaat ko paekar bakhshaa hai, daoraan-e-muta'aleah ghazal dil-o-dimaagh ko kaef-o-mastee se bhar detee hai. Allah kare Zaor-e-qalam aor zeyaadah!



mushae'rah meN aap kee shumuliyat ke liye be Had mamnoon hooN.

Muzaffar AHmad

moHtaram janaab "Muzaffar Ahmad Muzaffar" SaaHeb

salaam aap kee Khidmat meN

aap kee musalsal HuSlah afzaa'ee mere liye aage baRhte raihne meN intihaa'ee mo'aCCar o madadgaar hai,mujhe jo Khushee aap kee muHabbat o inaayat se bharpoor pazeeraa'ee o karam nawaazee se milee hai usey lafzoN meN bayaan karnaa naamumkin hai,taaham itnaa zaroor kahooN gaa ke mere liye yeh aab e Hayaat se kam naheeN hai,Allah aap ko jaza e Khair ataa farmaa'ey ,duniyaa o aaKhirat kee izzatoN se nawaaze

mujhe aap kee duaa'oN aur tawajjoh kee har qadam par zaroorat hai

niyaazmand

Re: Khayaal urdubandhan MushaaErah # 54

Posted: Sat Jan 15, 2011 6:40 am
by Tanwir Phool
:subh:
Bahut khoob !
BaRi achchhi ghazal hai aur raaqim-ul-huroof
kay misra' ki tazmeen bhi dilkash hai
DhairoN daad aur dili mubaarakbaad

Re: Khayaal urdubandhan MushaaErah # 54

Posted: Wed Jan 19, 2011 4:30 am
by ismail ajaz
Tanwir Phool wrote::subh:
Bahut khoob !
BaRi achchhi ghazal hai aur raaqim-ul-huroof
kay misra' ki tazmeen bhi dilkash hai
DhairoN daad aur dili mubaarakbaad

moHtaram janaab Tanwir Phool SaaHeb
salaam arz hai
aap jaise SaaHeb e kamaal SaaHeb e suKhan mo'Azzaz o naamwar shaaEr ke miSra e taraH par mujh jaise shaaEree ke usool o Zawaabit aur uske fan o aagahee se naabalad shaKhS kaa tab'aA aazmaa'ee karnaa baa'iC e sharf e sa'aadat hai

mujhe Khushee hai keh meree yeh TooTee phooTee kaavish aap ko pasand aa'ee

taalib e duaa

Re: Khayaal urdubandhan MushaaErah # 54

Posted: Sat Jan 12, 2013 10:02 am
by munir-armaan-nasimi
tumhaaree baatoN ke nashtar tow Sirf chubhte haiN
uThaa ke maar dow patthar bhee iss deewaane ko

Waah Bhai Waah.... Kya baat hai Ismail Bhaijaan....

Daad qobool kiziye.

aapka apna

munir armaan

Re: Khayaal urdubandhan MushaaErah # 54

Posted: Sat Jan 12, 2013 5:13 pm
by Tanwir Phool
:salaam2:
Mukarrar mubaarak baad Khayaal Sb.
Maqta' kaa jawaab naheeN :subh:
Hamaishaa du'aaoN maiN yaad rakhi'ey :jazax:
http://www.poetrysoup.com/biography/Tanwir_Phool

Re: Khayaal urdubandhan MushaaErah # 54

Posted: Thu Mar 10, 2022 5:01 am
by ismail ajaz
Tanwir Phool wrote: Sat Jan 12, 2013 5:13 pm :salaam2:
Mukarrar mubaarak baad Khayaal Sb.
Maqta' kaa jawaab naheeN :subh:
Hamaishaa du'aaoN maiN yaad rakhi'ey :jazax:
http://www.poetrysoup.com/biography/Tanwir_Phool



جناب محترم و مکرم تنویر پھول صاحب
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبراکاتہ
امید ہے آپ خیر خیریت سے ہوں گے ، اللہ آپ کو دونوں جہانوں کی خوشیاں اور عزتیں عطا فرمائے
میں آج ۹ سال کے بعد اپنی اس طرحی غزل کو دیکھ پایا جس میں آپ کی محبت و عنایت کو منتظر پایا جسے قبول کرنا اور آپ کی خدمت میں سلام عرض کرنا مجھ پر قرض تھا جسے قبول فرمائیے
اللہ آپ کو شاد و آباد رکھے اللہ آپ کو سدا سلامت رکھے
جزاکم اللہ خیرا
نیاز مند
اسماعیل اعجاز خیالؔ