uruduinyaa ke mushaaErah # 51 ke liye Khayaal
Posted: Thu Jan 06, 2011 6:14 pm
urduduniyaa ke mushaaErah # 51 meN khayaal kaa aadaab o tasleemaat
arz Khidmat hai
gire huwe haiN agar hum tow phir uThaa'ow humeN
nazar se apnee magar aur mat giraa'ow humeN
baRhaayaa dostee kaa haath tum ne hai Khud se
tow muskuraa ke bhee apne gale lagaa'ow humeN
bhrosah waqt peh abb kistaraH se hum kar leN
" lagaa chukaa hai yehee waqt kitne ghaa'ow humeN "
binaa tumhaare bhalaa kistaraH lage gaa dil
Khudaaraa chhoR ke tanhaa tow yuN nah jaa'ow humeN
yaqeen maano humeN tum se hee muHabbat hai
humaaree jaan ho tum yuN naheeN sataa'ow humeN
fidaa "Khayaal" ke jaan o jigar raheN tum par
yuN roz roz naheeN aur aazmaa'ow humeN
Ismail Ajaz Khayaal