urdujahaaN ke 18veN mushaaEre meN Khayaal
Posted: Fri Jan 07, 2011 10:04 am
urdujahaaN ke 18veN mushaaEre meN Khayaal kee kaavish baad az aadaab o tasleemaat ke urdubandhan kee nazr
arz e Khidmat hai
baat mujh se karte ho jab tum ishaaroN kee taraH
aaNkhoN se shauKhee jhalaktee hai nazaaroN kee taraH
zingadee jeene kaa aise aane lagtaa hai mazaa
phool jaise khil uTheN har soo bahaaroN kee taraH
aasteenoN meN chhupe haiN kitne saare saaNp jo
bholee Soorat ko liye milte haiN yaaroN kee taraH
maahee e be aab ban kar dil taRaptaa hai miraa
choR kar jaate ho jab tum be sahaaroN kee taraH
pyaar ke lafzoN meN meeThe zehr meN Doobaa lahoo
dauRtaa hai abb ragoN meN bhee sharaaroN kee taraH
apnee sachchaa'ee kaa mere paas hai yeh hee Cuboot
" ashk palkoN peh chamakte haiN sitaaroN kee taraH "
be murawwat zindagee ke roop haiN kaise "Khayaal"
dostoN meN dooriyaaN be aitbaaroN kee taraH
Ismail Ajaz Khayaal