aa'iye !!! kisee par uNglee uThaane se paihle
Posted: Thu Jan 13, 2011 11:07 am
aa'iye !!! kisee par uNglee uThaane se paihle apna Khud kaa jaa'izah leN
guzishtah niSf Sadee se yeh hum ne kaam kiyaa
sikhaayaa pattharoN ko bolne kaa aisaa fan
har ek shaKhS yahaaN boltaa hai baRh chaRh kar
jise bhee dekho woh naqqaad nuqtah cheeN hai aur
watan ke bigRe huwe masKh jhulse chehre par
uThaa ke uNglee yuN tanqeed karne lagtaa hai
keh jaise usne tow iss mulk ke liye apnee
tamaam zindagee ta'aameer meN basar kee thee
magar quSoor tow hai doosroN kaa jo abb tak
paRe haiN so'ey huwe owRhe chaadar e Ghaflat
yehee hai tarz e amal pooree hee awaam kaa abb
humaaree tarbiyat o shaKhSiyat , nizaam kaa abb
khaRe sabhee haiN keechaR uchhaalne ke liye
kisee bhee cheez meN keeRe nikaalne ke liye
kaheeN se ko'ee humeN aa'inah woh dikhlaa de
keh jis meN shakl humeN apnee hee nazar aa'ey
bajaa'ey shikwah gilah doosroN se ho hum ko
"Khayaal" Khud ko badalne kee hum kareN koshish
Ismail Ajaz Khayaal