Page 1 of 1
Raghib Murad Abadi Karachi mei 93 years Wafat Paa gaiey
Posted: Thu Jan 20, 2011 4:00 am
by sajhashmi
SYED ASGHAR HUSSAIN @ RAGHIB MURAD ABADI DIED
Inna Lillah e wa...
Urdu ke adabi halqon main ye khabar dukh aur afsos ke saath suni jaey gi key Urdu key maroof aur maqbool shair Hazrat Raghib Muradabadi aaj Karachi me wafat pagaey. Inna lillah wa inna alih e rajoon. Raghib Muradabadi ka asal naam Syed Asghar Hussain tha aur woh 27 March, 1918 ko delhi main paida huay thay.Unki tasaneef ki tadaad 30 key lug bhug hey jis main unki Punjabi shairi ka majmooa Taryan di Lo bhi shamil hey.Woh har sinf e sukhan par dastrus rakhtay thay khosoosan i Rubai unki pasandeeda sinf thi.
Delhi: MARCH 1918 -- 19TH JAN' 2011 KARACHI
About 30 Books of Poetry and writings including one Chinese one Punjabi
با غ ۔ جنت میں آ گیا ہوں میں
میر و غالب یہاں ہیں، حسر ت بھی
ر و ئے کیوں بیٹھ کے کراچی مجھے
چھو ڑ آ یا جہا ں میں شھر ت بھی
Perwerdigaar un ki maghfiret fermaieyN
Re: Raghib Murad Abadi Karachi mei 93 years Wafat Paa gaiey
Posted: Thu Jan 20, 2011 4:52 am
by sbashwar
Re: Raghib Murad Abadi Karachi mei 93 years Wafat Paa gaiey
Posted: Thu Jan 20, 2011 6:39 am
by sadiqua
Re: Raghib Murad Abadi Karachi mei 93 years Wafat Paa gaiey
Posted: Thu Jan 20, 2011 1:24 pm
by sajhashmi
Raghib Muradaabadi Saheb ne 19-1-2011 ki Shab Ziauddin Hospital Karachi mei Zindagi ki aakhri saans li.TV
channels per wafat aur namaz e janaza ki Khabrein telecast houien
Unn ki namaz e janaza mei funoon e lateefa ki jo shakhsiyat shareek houieN un mei Dr.Mohammad Ali Siddiqui,Prof.Saher Ansari,Prof.Ishaq Athar Siddiqui,Prof.Jazib Qureshi,Prof.Ajaz Farooqui,Prof.Azfar Rizvi,Syed Anwer Jawaid Hashmi,Akhter Saeedi,Firasat Rizvi,Ahmad Saeed Faizabadi,Salman Siddiqui,Usman Ali Arif,Akram KKunjahee,Zulfiqar Perwaz,Dr.Nisar Ahmad,H.Iqbal,Saeed Agha,Fareed Hussain,Nadeem Hashmi,Dost Mohammad Faizi,Naseer Turabi,Anwer Shaour,Jahangir Khan,Azhar Abbas Hashmi,Rana Iqbal Sahiba,Nasim Naazish sahiba,Jamia Karachi,Urdu Univesity,Arts Council k numainday,muhtalif adabi tanzeemouN k ohededar shamil heyn