hadiyah e naat e rasool e maqbool (S.A.W)
Posted: Sun Jan 23, 2011 1:00 pm
hadiyah e naat e rasool e maqbool Sallallaahu alaihee wa aalihee wasallam
chamakte chaand sooraj aur sitaare jhilmilaate haiN
yeh sab aaqaa (S.A.W) kee chaukhaT se ziyaa aur faiz paate haiN
zameen o aasmaaN meN jitne bhee qudrat ke haiN mazhar
rasool e paak (S.A.W) kee barkat se hee manzar sajaate haiN
haiN qaa'em saare hee aalam rasool Allah (S.A.W) ke sadaqe meN
zamaane waqt raat aur din jo abb tak aate jaate haiN
muHammad muStafa (S.A.W) kaa rauzah hai jannat kaa gaihwaarah
jahaaN par jannatoN ke raaste Khud chal ke aate haiN
baRe hee bhaag waale haiN baRaa hai martabah unkaa
jineN shaah e dow aalam (S.A.W) apne rauze par bulaate haiN
"Kayaal" armaaN machalte haiN yuN dil meN aarzoo bankar
keh hum kab aapkee (S.A.W) chaukhaT peh yeh palkeN bichhate haiN
aHqar
Ismail Ajaz Khayaal