Page 1 of 1

nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

Posted: Mon Jan 24, 2011 6:00 am
by ismail ajaz
ek taazah kalaam urdubandhan ke chaahne waaloN kee nazr

arz kiyaa hai


nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh
zameeN kee aajizee o baiHr e bekaraaN bhee dekh

tuu apnee soch ke maiHdood daa'iroN se nikal
Khirad kee aaNkh se qudrat ke kaarwaaN bhee dekh

tamaam umr kyaa tuu KhaamiyaaN hee dekhe gaa
chhupee haiN doosroN meN kitnee KhoobiyaaN bhee dekh

HuSool e duniyaa ko maqSad banaa liyaa tuu ne
tujhe bhee jaanaa hai tow soo'ey raftgaaN bhee dekh

nikaal dil se adaawat o kibr o nafrat ko
tuu muskuraa ke Zaraa shakl e dilbaraaN bhee dekh

Khafaa Khafaa saa tuu kyuN Khud se rooThaa raihtaa hai
tuu zindagee meN kabhee Khud ko shaadmaaN bhee dekh

"Khayaal" dekh le Khud ko nikaal kar furSat
tuu apne aap ko kuchh ho ke mehrbaaN bhee dekh

Ismail Ajaz Khayaal

Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

Posted: Mon Jan 24, 2011 9:05 am
by najeeb
Bohat khoob Khayal sb. sher # 4 ziyada pasand aaya. dad pesh hai.

Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

Posted: Mon Jan 24, 2011 11:42 am
by syed ziauddin naeem
Janab khayal sb .Taslimat

Tu apni soch k mahdood dairon se nikal
khirad ki aankh se qudrat k karwan bhi daikh.

kiya danish ki baat farmai aap ne.dad qubul farmaiye.bahot khoob

syed ziauddin Naeem

Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

Posted: Mon Jan 24, 2011 12:05 pm
by sbashwar
محترم اسماعیل اعجاز خیالؔ صاحب
السلام علیکم

حصولِ دنیا کو مقصد بنالیا تُونے
تجھے بھی جانا ہے تُو سوئے رفتگاں بھی دیکھ

بہت اچّھی غزل عنایت کی آپنے۔ میری داد اور مبارکباد قبول فرمائیں۔

مخلص
سالم باشوار

Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

Posted: Mon Jan 24, 2011 9:07 pm
by waQaar
Ismaa'il bh~aa,ii!

Salaam 'arZ hay!

bahut aCHh~ii ghazal kahi hay aapne. aapkay khaYaalaat mujh~ay bh~ii muta'cir kertay haiN. aise likh~tay rahYay aur hamaari daad wusool kertay rahYay. chand baateN kehta chaluNga, ap bh~ii kehtay hoNgay keh meN har baar kuchh~ khaami nikaalta huN. lekin yaqeen kee jiYay mera aisa koi maqSad nahiN meN to chaahata huN bas keh aapka soz-e-sukhan naaYaab ho.

nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh
zameeN kee aajizee o baiHr e bekaraaN bhee dekh
bahut uMdah She'r! daad!

tuu apnee soch ke maiHdood daa'iroN se nikal
Khirad kee aaNkh se qudrat ke kaarwaaN bhee dekh

meray murShad Iqbal Yaad aa gaye!

tamaam umr kyaa tuu KhaamiyaaN hee dekhe gaa
chhupee haiN doosroN meN kitnee KhoobiyaaN bhee dekh

pehla misr'ah vazn maiN nahiN hay. ik mumkin Shakl Yeh hay:

"tamaam 'umr tu sab maiN kharaabiaaN hi dekh~ay ga".
aapne "kYa" ko chh~oTi aavaaz per baaNdh~aa hay, yeh mumkin nahiN.



HuSool e duniyaa ko maqSad banaa liyaa tuu ne
tujhe bhee jaanaa hai tow soo'ey raftgaaN bhee dekh

She'r ka mafHoom aCHh~aa hay. "dunYa" chuuNkeh 'arbi ka lafZ^ hay is liYay iski "Ya" ko giraana Th~eek nahiN samjh~aa jaata. aap dekh~ lee jiYay! daad haaZir hay!

nikaal dil se adaawat o kibr o nafrat ko
tuu muskuraa ke Zaraa shakl e dilbaraaN bhee dekh

pehla miSr'ah vazn maiN. YuuN ker keh dekh~aiN:
"nikaal dil se 'adaawat ko, kibr-o-nafrat ko"
ik tajviiz hay, aap bh~ii dekh~aiN.



Khafaa Khafaa saa tuu kyuN Khud se rooThaa raihtaa hai
tuu zindagee meN kabhee Khud ko shaadmaaN bhee dekh
bahut khoob!

"Khayaal" dekh le Khud ko nikaal kar furSat
tuu apne aap ko kuchh ho ke mehrbaaN bhee dekh
Bullay Shaah Yaad aa gaye! bahut khoob.



aapkay kalaam ki zaruurat hay SaaHib! likh~tay rahYay aur daad qubool kee jiYay!

waQaar :)

Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

Posted: Tue Jan 25, 2011 5:24 pm
by ismail ajaz
najeeb wrote:Bohat khoob Khayal sb. sher # 4 ziyada pasand aaya. dad pesh hai.

janaab moHtaram najeeb SaaHeb

Allah Khush rakhe aap ko ,aap ko meree taiHreer pasand aa'ee mere liye bohot HauSlah afzaa aur baa'iC e izzat hai

baRee inaayat hai aap kee

aap kee muHabbatoN aur duaa'oN kaa moHtaaj

Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

Posted: Tue Jan 25, 2011 5:30 pm
by ismail ajaz
syed ziauddin naeem wrote:Janab khayal sb .Taslimat

Tu apni soch k mahdood dairon se nikal
khirad ki aankh se qudrat k karwan bhi daikh.

kiya danish ki baat farmai aap ne.dad qubul farmaiye.bahot khoob

syed ziauddin Naeem

janaab moHtaram syed ziauddin naeem SaaHeb

aap kee inaayat o muHabbat ke liye taih e dil se mamnoon hooN ,aap ko meree Ghazal kaa shEr pasaNd aayaa ,mere liye baRee Khushee kaa baa'iC hai,Allah aap ko humeshah Khush rakkhe ,salaam qubool farmaa'iye apnee duaa'oN meN yaad rakhiye

mamnoon

Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

Posted: Tue Jan 25, 2011 5:37 pm
by ismail ajaz
sbashwar wrote:
محترم اسماعیل اعجاز خیالؔ صاحب
السلام علیکم

حصولِ دنیا کو مقصد بنالیا تُونے
تجھے بھی جانا ہے تُو سوئے رفتگاں بھی دیکھ

بہت اچّھی غزل عنایت کی آپنے۔ میری داد اور مبارکباد قبول فرمائیں۔

مخلص
سالم باشوار

moHtaram janaab سالم باشوار SaaHeb

salaam aap kee Khidmat meN

beHad mamnoon hooN maiN aap kee muHabbat o inaayat ke liye,Allah aap ko dunyaa o aaKhirat kee iazzateN ataa farmaa'ey beHad shukrguzaar hooN maiN aap kaa

Re: nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh

Posted: Tue Jan 25, 2011 5:56 pm
by ismail ajaz
waQaar wrote:Ismaa'il bh~aa,ii!

Salaam 'arZ hay!

bahut aCHh~ii ghazal kahi hay aapne. aapkay khaYaalaat mujh~ay bh~ii muta'cir kertay haiN. aise likh~tay rahYay aur hamaari daad wusool kertay rahYay. chand baateN kehta chaluNga, ap bh~ii kehtay hoNgay keh meN har baar kuchh~ khaami nikaalta huN. lekin yaqeen kee jiYay mera aisa koi maqSad nahiN meN to chaahata huN bas keh aapka soz-e-sukhan naaYaab ho.

nazar uThaa ke Zaraa soo'ey aasmaaN bhee dekh
zameeN kee aajizee o baiHr e bekaraaN bhee dekh
bahut uMdah She'r! daad!

tuu apnee soch ke maiHdood daa'iroN se nikal
Khirad kee aaNkh se qudrat ke kaarwaaN bhee dekh

meray murShad Iqbal Yaad aa gaye!

tamaam umr kyaa tuu KhaamiyaaN hee dekhe gaa
chhupee haiN doosroN meN kitnee KhoobiyaaN bhee dekh

pehla misr'ah vazn maiN nahiN hay. ik mumkin Shakl Yeh hay:

"tamaam 'umr tu sab maiN kharaabiaaN hi dekh~ay ga".
aapne "kYa" ko chh~oTi aavaaz per baaNdh~aa hay, yeh mumkin nahiN.



HuSool e duniyaa ko maqSad banaa liyaa tuu ne
tujhe bhee jaanaa hai tow soo'ey raftgaaN bhee dekh

She'r ka mafHoom aCHh~aa hay. "dunYa" chuuNkeh 'arbi ka lafZ^ hay is liYay iski "Ya" ko giraana Th~eek nahiN samjh~aa jaata. aap dekh~ lee jiYay! daad haaZir hay!

nikaal dil se adaawat o kibr o nafrat ko
tuu muskuraa ke Zaraa shakl e dilbaraaN bhee dekh

pehla miSr'ah vazn maiN. YuuN ker keh dekh~aiN:
"nikaal dil se 'adaawat ko, kibr-o-nafrat ko"
ik tajviiz hay, aap bh~ii dekh~aiN.



Khafaa Khafaa saa tuu kyuN Khud se rooThaa raihtaa hai
tuu zindagee meN kabhee Khud ko shaadmaaN bhee dekh
bahut khoob!

"Khayaal" dekh le Khud ko nikaal kar furSat
tuu apne aap ko kuchh ho ke mehrbaaN bhee dekh
Bullay Shaah Yaad aa gaye! bahut khoob.



aapkay kalaam ki zaruurat hay SaaHib! likh~tay rahYay aur daad qubool kee jiYay!

waQaar :)


janaab moHtaram waQaar SaaHeb

salaam aap ke Huzoor pesh e Khidmat hai


aap ne farmaayaa hai keh

bahut aCHh~ii ghazal kahi hay aapne. aapkay khaYaalaat mujh~ay bh~ii muta'cir kertay haiN. aise likh~tay rahYay aur hamaari daad wusool kertay rahYay. chand baateN kehta chaluNga, ap bh~ii kehtay hoNgay keh meN har baar kuchh~ khaami nikaalta huN. lekin yaqeen kee jiYay mera aisa koi maqSad nahiN meN to chaahata huN bas keh aapka soz-e-sukhan naaYaab ho.


sarkaar aap kee muHabbat aap kee inaayat aap kee tawajjoh aap ke KhulooS aap kee zarrah nawaazee mere nazdeek meree taiHreer se kaheeN qeemtee hai,aap ne jo dekhaa hai SaHeeH hai mujhe aap se ittifaaq hai,aap kee HauSlah afzaa'ee pazeeraa'ee mere liye aage baRhte rahne meN bohot mu'aavin o madadgaar hai,aap ko jin ash'aar ne apnee jaanib mutwajjoh kiya mujhe Khushee hu'ee ,jin muqaamaat kee nishaandahee aap ne farmaa'iye iSlaaH ke aitbaar se ,maiN mamnoon hooN ,waqt nikaal kar insha Allah unheN durust kardooN gaa
Allah aap ko kisee ke saamne kabhee sharmindah nah kare dunyaa o aaKhirat kee izzatoN se nawaaze,maiN aap ke saamne saraapaa e sipaas guzaar hooN

aap kee duaa'oN tawajjoh muHabbat o inaayat kaa moHtaaj o taalib e nazar