Meri Taza Ghazal
Posted: Sun Feb 06, 2011 8:41 pm
Sub ko yeh aas kamaaya huuwa dhan aaye ga
MaaN ka dil Khush hai mira laal wat'an aaye ga
Kya khabar thee na kabhee funn e suKhan aaye ga
Hum tou samjhe thay bohat jald yeh fun aaye ga
Kaun ho jata hai pal bhar meN kisee per qurban
Aate aate hi moHabbat ka chalan aaye ga
Aur taqdeer meN hum jaisoN kee likhkha kya hai
Raat bechainee tou din le ke thakan aaye ga
Dil e mujrim meN jab aayega nidaamat ka Khayal
Saath meN le ke qayamat ki chubhan aaye ga
Uska kya mol hai Radha hi samajh paye gee
Bansi Waala jo liye dil meN lagan aaye ga
Roz hum sote haiN :Jawaid: is ummeed ke saath
Khuwaab meN aaj koyee Guncha dahan aayega
Jawaid Badauni