Page 1 of 1

kyuN sune gaa tuu bhalaa abb mujh gaNwaar kee

Posted: Mon Feb 07, 2011 12:52 pm
by ismail ajaz
tamaam aiHbaab kee Khidmat meN kyuN Allah se shikwah jaa'ez samjhtaa jaa'ey aur gumrah lowgoN ko Hawaalah ke taur par pesh kiyaa jaa'ey kis ne iss baat kee ijaazat iss mu'aashre ko de rakkhee hai aur kyuN ?

tamaam SaaHib ilm o adab maahireen e shEr o suKhan se ek sawaal


kyuN sune gaa tuu bhalaa abb mujh gaNwaar kee
tuu kahe hazaar kee aur maiN bekaar kee
tujh meN mujh meN farq hai kuchh istaraH kaa yaar
tuu kare sunaar kee tow maiN lohaar kee
shikwe gile meN rab se tuu ratbul lisaan hai
yeh jaan le keh tuu ne zindagee Khwaar kee
kyuN aajizee naheeN hai tujh meN ,aur Khushoo KhuZoo
kee shakl e mominaaN bhee tuu ne iKhtiyaar kee
khul jaa'eN tujh peh qudratoN ke beshumaar baab
lafz e "kamee" tauheen hai parwardigaar kee
kaamil yaqeeN kee shart hai laazim tuu sunn miyaaN
jis ne lagaa dee ayeRh tow KhaNdaq hai paar kee
kaafir butoN se apnee muraadoN ko paa gayaa
momin Khudaa se jore hai be aitbaar kee
shikwah gilah shayetaan kaa shewah hai yaad rakh
la'anat kaa tauq hai liyr sazaa dhutkaar kee
apne yaqeeN ko puKhtagee kee nehj tak pohNchaa
laa kisee walee se yeh daulat udhaar kee
dhokaa "Khayaal" zindagee se khaa rahaa hai tuu
maaNge KhizaaN se kis liye hai rut bahaar kee


taalib e nazar
Ismail Ajaz Khayaal

Re: kyuN sune gaa tuu bhalaa abb mujh gaNwaar kee

Posted: Tue Feb 08, 2011 5:41 am
by sbashwar

محترم اسماعل اعجاز صاحب
السلام علیکم

کیوں عاجزی نہیں ہے تجھ میں ، اور خشوع خضوع
کی شکلِ مومناں بھی تُو نے اختیار کی

آپ کے کلام میں پیغام ضرور ہو تا۔ اللہ آپ کو جزائے خیر دے۔ آمین۔

مخلص
سالم باشوار

Re: kyuN sune gaa tuu bhalaa abb mujh gaNwaar kee

Posted: Wed Feb 09, 2011 4:45 am
by ismail ajaz
sbashwar wrote:

محترم اسماعل اعجاز صاحب
السلام علیکم

کیوں عاجزی نہیں ہے تجھ میں ، اور خشوع خضوع
کی شکلِ مومناں بھی تُو نے اختیار کی

آپ کے کلام میں پیغام ضرور ہو تا۔ اللہ آپ کو جزائے خیر دے۔ آمین۔

مخلص
سالم باشوار

janaab moHtaram سالم باشوار SaaHeb

salaam aur shukriyah qubool farmaa'iye,duniyaa o aaKhirat kee KhushiyaaN aur izzateN Allah aap kaa muqaddar farmaa'ey

mamnoon