Page 1 of 1

فیض صدی تقریبات کے سلسلے میں بیادِ فیض : منظوم تاثرات

Posted: Tue Feb 08, 2011 6:13 am
by aabarqi
Nazm : Bayad e Faiz Ahmad Faiz
Ahmad Ali Barqi Azmi

Faiz Ahmad Faiz hai duniya e Urdu meiN woh naam
Jis ka arbab e nazar karte haiN behad ehteraam

Shairi hai jis ki fikr o fun ka dilkash imtezaaj
Sab ka manzoor e nazar hai jis ka me’aari kalaam

Un ke aijaz e qalam se munakis hair rooh e asr
Apne ham asroN meiN the woh dosaroN se pesh gaam

Gulshan e urdu meiN un ki zaat thi misl e bahaar
Un se muta’assir tha un ke ahd ka fikri nezaam

Un ki ghazlon se ayaN hai un ka aafaaqi payaam
Ahd e hazir meiN the asri aagahi ke woh imaam

Amn o sulh o aashti tha Faiz ka Barqi sh’aar
“Ba musalmaaN allah allah ba barahman Ram Ram”