Page 1 of 1

phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum

Posted: Mon Feb 21, 2011 9:43 am
by ismail ajaz
ek taazah kaavish aiHbaab e urdubandhan aur uske chaahne waaloN kee nazr baad az aadaab

arz e Khidmat hai


phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum
aiHsaas e zindagee ko aise jagaa'eN hum

taareekiyaaN miTaa deN nafrat kee raahoN se
ulfat ke deep itne har pal jalaa'eN hum

chaNd din kee zindagee meN jitnaa bhee waqt hai
KhushiyoN ke raNg usmeN aaow sajaa'eN hum

maanaa safar kaThin hai aur mushkileN bhee haiN
himmat o HauSloN se baRhte hee jaa'eN hum

jitnee bhee zindagee hai guzar jaa'ey gee sunow !
row kar guzaar deN yaa haNs kar bitaa'eN hum

sab se kareN muHabbat sab se mileN "Khayaal"
shikwe gile bhula kar bas muskuraa'eN hum

Ismail Ajaz khayaal

Re: phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum

Posted: Mon Feb 21, 2011 4:50 pm
by Nayeem Khan
Masha-Allah, bohat achchi ghazal hai.
chaNd din kee zindagee meN jitnaa bhee waqt hai
KhushiyoN ke raNg usmeN aaow sajaa'eN hum
is sheyr ke liye khusoosi dad pesh hai.

Re: phir se wafaa ke phool har soo khilaa'eN hum

Posted: Fri Feb 25, 2011 6:22 pm
by ismail ajaz
Nayeem Khan wrote:Masha-Allah, bohat achchi ghazal hai.
chaNd din kee zindagee meN jitnaa bhee waqt hai
KhushiyoN ke raNg usmeN aaow sajaa'eN hum
is sheyr ke liye khusoosi dad pesh hai.

janaab moHtaram Nayeem Khan SaaHeb

salaam aap ke Huzoor

baRee nawaazish hai aap kee ,zarrah nawaazee hai aap kee,Allah aap ko sadaa Khush rakkhe

apnee duaa'oN meN yaad rakhiye

mamnoon