Page 1 of 1

shua'-e'-be_Khudee..........manzar

Posted: Mon Feb 28, 2011 2:45 pm
by manzar alam
a'zeezaan-e-meHfil,
aadaab!
maiN apnee see ek koshish le kar HaaZ^ir huuN is ummeed ke saath keh aap HaZ^raat apne qeemtee mashwaroN se nawaazeNge aur naa_cheez ko seekhne kaa mauqa' faraaham kareNge........shukriyah
t^aalib-e-doa'a
manzar

1..shua’a-e’-be_KHudee se qalb kaa ma’moor ho jaanaa
:KHudaa kaa qurb kyaa shaiy hai KHudee se door ho jaanaa:

2.. kiyaa Haq ne Zaleel o Khwaar kar ke raaNdah-e-dargaah
pasand aayaa naheeN, iblees kaa maGhroor ho jaanaa

3..bahot se marHale baaqee abhee haiN zindagaanee(raah-e-ulfat) meN
Zaraa see Thes par kyaa is qadar ranjoor ho jaanaa

4..taGhaiyur or tabaddul a’in fit^rat kaa taqaaZ^ah hai
kisee kaa paas aajaanaa kisee se door ho jaanaa

5..seHar angez hai teree nigaah-e-naaz gar saaqee
to seekhaa hai hamaare dil ne bhee mas,Hoor ho jaanaa

6.. koyee maane nah maane par hai jeene ke liye laazim
HiSaar-e-aarzoo meN qalb kaa maHSoor ho jaanaa

7..muqaddar hee muKhaalif ho jab apnaa , to bhalaa manz^ar!
a’jab kyaa roz-e-roshan ka shab-e-daijuur ho jaanaa



Re: shua'-e'-be_Khudee..........manzar

Posted: Tue Mar 01, 2011 5:16 am
by sbashwar
4..taGhaiyur or tabaddul a’in fit^rat kaa taqaaZ^ah hai
kisee kaa paas aajaanaa kisee se door ho jaanaa

Bohat khoob.

Re: shua'-e'-be_Khudee..........manzar

Posted: Tue Mar 01, 2011 7:46 pm
by manzar alam
sbashwar wrote:4..taGhaiyur or tabaddul a’in fit^rat kaa taqaaZ^ah hai
kisee kaa paas aajaanaa kisee se door ho jaanaa

Bohat khoob.
bahot bahot shukriyah muHtaram! HauSlah_afzaayee ke liye....