Page 1 of 1

yeh Hisaab-o-kitaab kee baateN یہ حساب وکتاب کی باتیں

Posted: Tue Mar 08, 2011 6:59 pm
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-bazm: aadaab!

muddat huyee keh aashtee-e-chashm-o-gosh hai!

ek a'rSeh ke ba'd HaaZ^ir ho rahaa hooN. qiSSah wohee puraanaa hai:

Gham-e-Habeeb, Gham-e-aarzoo, Gham-e-dunyaa!

so pehle do Gham ab teesre kaa shikaar ho kar reh gaYe haiN! phir bhee yeh ek Gham kyaa kam hai!

Urdu Anjuman kee t^araH par Ghazal pesh kar rahaa hooN. raaYe aur tabSireh se nawaaziye. shukriyah!
=======================
Ghazal

yeh Hisaab-o-kitaab kee baateN
"aisee haiN jaise Khwaab kee baateN"

Husn-o-raNg-o-shabaab kee baateN
regzaar-e-saraab kee baateN!

aaNsu,o! tum hee kuchh bayaan karo
i'shq-e-Hasrat-ma,aab kee baateN!

koyee seekhe to aap se seekhe
dil meN reh kar Hijaab kee baateN!

yaad hai, maiN hooN aur tanhaayee
dil hai aur aaN-janaab kee baateN

kyaa hameeN reh gaYe haiN sun,ne ko
yeh sawaal-o-jawaab kee baateN?

SubH-o-shaam aarzoo kaa manz^ar hai
aur shab iZ^t^iraab kee baateN!

Dhal chukee shaam-e-raNg-o-ra'naayee
ab haiN kaar-e-cawaab kee baateN!

ranj-o-Hasrat, umeed-o-naumeedee
i'shq ke haiN niSaab kee baateN

pehle dunaa se dil lagaate ho
us peh yeh iZ^t^iraab kee baateN!

koyee :Sarwar: bhalaa sune kyoN kar
tujh se Khaanah-Kharaab kee baateN!

Re: yeh Hisaab-o-kitaab kee baateN یہ حساب وکتاب کی باتیں

Posted: Thu Mar 10, 2011 4:14 pm
by Hasan Aatish
کوئی سیکھے تو آپ سے سیکھے
دل میں رہ کر حجاب کی باتیں
ماشا اللہ بہت اچھا کلام ہے داد حاضر ہے۔

Re: yeh Hisaab-o-kitaab kee baateN یہ حساب وکتاب کی باتیں

Posted: Mon Mar 14, 2011 7:34 am
by manzar alam
yaad hai, maiN hooN aur tanhaayee
dil hai aur aaN-janaab kee baateN

kyaa hameeN reh gaYe haiN sun,ne ko
yeh sawaal-o-jawaab kee baateN?

SubH-o-shaam aarzoo kaa manz^ar hai
aur shab iZ^t^iraab kee baateN!

Dhal chukee shaam-e-raNg-o-ra'naayee
ab haiN kaar-e-cawaab kee baateN!

ranj-o-Hasrat, umeed-o-naumeedee
i'shq ke haiN niSaab kee baateN

pehle dunaa se dil lagaate ho
us peh yeh iZ^t^iraab kee baateN!

koyee :Sarwar: bhalaa sune kyoN kar
tujh se Khaanah-Kharaab kee baateN!
====================================

kyaa kehne haiN janaab! waaaaaaah!
meree jaanib se bhee bahot see daaD HaaZ^ir hai qubool farmaayeN.
shukriyah
manzar