muHtaramee Nazir SaaHeb: aadaab!
aap kee yeh dilpazeer Ghazal naz^ar-nawaaz huyee. is kee bandisheN aur rawaanee donoN hee dilkash haiN aur har she'r is miSre' kee ta'beer ma'loom hotaa hai:
karishmah daaman-e-dil mee kashad keh jaa eeN jaa,st!
meree naacheez daad qubool keejiYe, aur do-ek baateN a'rZ^ karne kee ijaazat deejiYe. in sut^oor kaa maqSad apnaa Zehnee it^meenaan hai. tanqeed kaa koyee sawaal naheeN hai. ummeed hai keh aap is teHreer ko isee pas-manz^ar meN dekh`eN ge aur mere iltibaasaat door farmaa kar shukriyah kaa mauqa' a't^aa kareN ge.
agar maiN Ghalat^ee par naheeN hooN to yeh Ghazal-e-musalsal hai. sawaal yeh hai keh har she'r meN aap kaa muKhaat^ib kaun hai? mat^le' ko naz^ar-andaaz kar deN to meHboob ko aap kaa muKhaat^ib samajh`ne meN koyee qabaaHat naheeN hai. lekin aap ne mat'le` meN :ai chaaNd!: keh kar har she'r ko is Khit^aab kaa paaband kar diyaa hai aur is se asha'ar meN iltibaasaat aur shubhaat paidaa ho gaYe haiN. is ijmaal kee th`oRee see tafSeel darj-e-Zel hai:
---------------
AasmaaN per mujhe ay chaand bulaataa kiyuN hei
Mujh se naalaaN hei tou phir sir pah biThaataa kiyuN hei
:aasmaan par chaaNd kaa aap ko bulaanaa aur ph`ir sar peh biThaanaa: dilkash baateN to haiN lekin in se aap kaa mat^lab kyaa hai? yeh :chaaNd: kaun hai? aasmaan waalaa :chaaNd: to z^aahir hai keh aap se :naalaaN: kisee Soorat se naheeN ho saktaa hai. is t^araH to pooraa she'r hee mubham aur mu,a'mmah ho kar reh jaataa hai. agar :chaaNd: se aap kee muraad :meHboob: hai to meHboob aap se :naalaaN: yaqeena" ho saktaa hai aur is mafrooZ^ah kaa jawaaz doosre asha'ar meN bh`ee mil saktaa hai. lekin ph`ir us kaa aap ko :aasmaan par bulaa kar sar peh biThaanaa: jawaab-t^alab ho jaataa hai. tashreeH kar deN to i'naayat ho gee aur she'r ke muZ^miraat samajh`ne meN aasaanee ho jaaYe gee.
----------------------
Shaam-e-hijraaN mujhe jooN shamA jalaataa kiyuN hei
gham ke maare houe insaaN kou sataataa kiyuN hei
Chaahne waale ke dil meiN hei Thikaanah teraa
usi kaAbeh ke dar o baam giraataa kiyuN hei
----------------------------
Aankh meiN taab kahaN hei tiraa jalvah dekhe
apne deewane kou deevaanah banaataa kiyuN hei
doosre miSre' meN ba-z^aahir :apne deewaane: se muraad : woh jo teree muHabbat se sarshaar hai: hai, aur us ko :deevaanh banaane: se muraad us ko :hosh-o-hawaas se begaanah kar denaa: hai. yeh Soorat-garee bohat dilkash hai. ek sawaal Zehn meN aataa hai keh meHboob ko aaNkhoN se dekh`ne se aap par yeh kaifiyyat kyoN t^aare hogee jab.k aap ne muHabbat us z^aalim ko dekh`ne ke ba'd hee to kee ho gee!
-----------------------
Bhool jaanaa hei agar waAdah o paimaaN apne
meri her baat mujhe yaad dilaataa kiyuN hei
meraa Khayaal hai keh :jaanaa: kee bajaaYe :jaataa: ho gaa aur yeh ek :typo: hai warnah to pehlaa miSra' be-ma'nee ho jaataa hai.
-------------------------------
Jam gayaa thaa jo miraa khoon-e-jigar baih baih kar
phool kehkar use baalaoN mein sajaataa kiyuN hei
Shookhiy-e-chashm se ghaafil nahiN rehtaa Nazir
Jaane too apni tamanna ko chupaataa kiyuN hei.
--------------------------
ummeed hai keh koyee baat aap ko giraaN naheeN guzree ho gee. aap kee waZ^aaHat kaa muntaz^ir rahooN gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz :Sarwar: