aa'inah aap humeN yuN hee dikhaate rahiye
Posted: Tue Mar 15, 2011 8:59 am
urdubandhan ke chaahne waaloN ko Khayaal kaa aadaab
arz Khidmat hai
aa'inah aap humeN yuN hee dikhaate rahiye
ummat e muslimah so'ee hai jagaate rahiye
abb yehee chehrah har ikk samt musalmaan kaa hai
badnumaa iss ke Khat o Khaal chhupaate rahiye
jo shajar ban ke Khameedah haiN naheeN sudhreN ge
nannhe paudoN ko magar Khamm se bachaate rahiye
phir se maihke gee zameeN aur yeh maihke gaa falak
apne atraaf meN yuN phool khilaate rahiye
ek din aa'ey gaa meHnat ka Camar nikle gaa
dil meN ulfat kee agar faSl ugaate rahiye
mu'aashrah Theek tow ho saktaa hai koshish se "Khayaal"
bass Zaraa dil meN jagah sab ke banaate rahiye
Ismail Ajaz Khayaal