Page 1 of 1

Shab-e-furqat main tu agar ayay

Posted: Tue Mar 15, 2011 11:01 pm
by Brijinder

Shab-e-furqat main tu agar ayay
sehra main samandar utar ayay

Sangdil koi mila na tujh sa
hum to daikh sara shehar ayay

Dard mera to laga ab sonay
Naya aur koi nashtar ayay

Waqt-e-rukhsat aur kasam yeh hai
aankh main ashq na nazar ayay

Umr bhar rahi hasrat "Sagar"
Apni ulfat ki bhi sehar ayay
------------------------------