Page 1 of 1

GHAZAL-MISRA-TUMHAREIN PAO CHUMENGE MERI TEHREER KE TUKDE

Posted: Thu Mar 24, 2011 9:44 am
by rizwansaba
NAZAR AATEY HAIN JAB BHI KHAB MEIN TANVEER KE TUKDE
NIGAHEIN JOD DETI HAIN TERI TASVEER KE TUKDE.

TERI HASTI NAHIN BATIL KARE TAKBEER KE TUKDE
SADAAQAT KAR CHUKI HAI JAB TERI SHAMSHEER KE TUKDE.

NAHIN HONGE HAMARI AB KISI JAGEER KE TUKDE
WO BAS EK DAUR THA JO HO GAYE KASHMIR KE TUKDE.

BADAL JAATI ZABAA.N BHI AUR LAB-O-LEHJE BADAL JAATEY
WO YEH KAHIYE NA HO PAYE ZABAAN-E-MIR KE TUKDE.

MUJHE QISMAT JAGAANE KI KHABAR NEENDO.ON SE MIL JATI
ADHOORE KHWAB KAR DETE HAIN HAR TABEER KE TUKDE.

SADAAYEIN QAIDKHANE KI HUMEIN AKSAR SATATI HAIN
YEH LAGTA HAI ABHI MOUJOOD HAIN ZANJEER KE TUKDE.

TUMHERI RAAH MEIN AANSU BIKHERE HAAL-E-DIL LIKH KAR
TUMHARE PAON CHUMENGE MERI TEHREER KE TUKDE

HUA HAI CHAAND DO TUKDE SABA JISKE ISHARE PAR
SITAARE BHI YAQINAN HAIN USI TANVEER KE TUKDE

Re: ASHAAR

Posted: Fri Mar 25, 2011 12:11 pm
by sbashwar
Bohat khoob. Daad pesh hai.

Re: ASHAAR

Posted: Sat Mar 26, 2011 5:33 am
by rizwansaba
sbashwar wrote:Bohat khoob. Daad pesh hai.
Shukriya..Zarra Nawazi

Re: GHAZAL-MISRA-TUMHAREIN PAO CHUMENGE MERI TEHREER KE TUKD

Posted: Thu Apr 07, 2011 10:21 pm
by Ehsan Raza
Mohatram rizwan saba saheb bohat khoobsoorat ghazal ke rang men manqabat ki chashni ne kalam meN mazeed lazzat paida kerdee hai khusoosan wo sher, BADAL JATEE ZABAN BHI AOR LABO LAHJE BADAL JATEY
wOH YEH KAHIYE NA HO PAYE ZABANE MEER KE TUKREH
yaqqenan urdu zabaan Meer ki meeraas rahee jisne urdu likhne aor bolne waloN ko ZAIR--O-- ZABAR ki bhi tafreeq karne ka huq nahi diya jo aaj urdu sharee ki zamanat hai

Hadaees ki tamman ter numaendagi se bharpoor maqta qabile tareef hai Daad qubool kijiye

shukriya Ehsan Badauni