Page 1 of 1

maut kaa khel kyuN ?????

Posted: Sat Apr 02, 2011 10:30 am
by ismail ajaz
urdubandhan ke chaahne waaloN ko aadaab
Pakistan Cricket team ke kaptaan shahid afridi ke aabaa'ee gaa'oN meN 2 chachaa zaad bhaa'iyoN ne lowgoN kee ta'Anah zanee se taNg aakar Khudkoshee kar lee,isee taraH ek KhaatooN jo ke Haamilah bhee theeN shiddat e Gham se shaahid afridi ke (out) aauT ho jaane par Khudkushee kar lee,yeh kalaam un aiHbaab aur un tamaam aiHbaab kee nazr jo hindustaan aur paakistaan ke maabayen hone waale khel ko khel naheeN izzat kaamu'Aamlah samajhte haiN

arz e Khidmat hai



humaaree haar se tum ne bhalaa kyuN Khudkushee karlee
milaa kyaa jaan khone se GhamoN meN kyaa kamee karlee

jisey kaihtee hai dunyaa khel tum bhee khel isey samjho
banaa kar mas'alah tum ne ajeeran zindagee karlee

amaanat zindagee hai yeh Khudaa kee dee hu'ee har pal
kyuN tum ne iss amaanat meN Khayaanat kee sa'Eee karlee

tumhaaree jaaNfishaanee sab akaarat ho ga'ee dekho
miley gee abb sazaa tum ko keh Haalat kufr kee karlee

humaaree haar humko yeh sabaq detee hai jeene kaa
hu'ee jab teergee tow dil jalaa kar raushnee karlee

"Khayaal" hum ne tow jeevan se yehee aNdaaz seekhaa hai
milaa jab bhee nayaa Gham dil lubhaane ko Khushee karlee

Ismail Ajaz Khayaal

Re: maut kaa khel kyuN ?????

Posted: Sat Apr 02, 2011 2:47 pm
by sbashwar
Jis pas manzar mein ye ghazal kahi gayi hai, bohat afsoos hua. kuch aur likhne ki taqat nahin.
Allah hum sabko hidayat de, ameen.

Re: maut kaa khel kyuN ?????

Posted: Thu Apr 07, 2011 11:35 am
by ismail ajaz
sbashwar wrote:Jis pas manzar mein ye ghazal kahi gayi hai, bohat afsoos hua. kuch aur likhne ki taqat nahin.
Allah hum sabko hidayat de, ameen.
janaab moHtaram sbashwar SaaHeb

salaam aur shukriyah aap kee tawajjoh aur inaayat kaa ,Allah humsabko hidaayat kaamilah ataa farmaa'ey

taalib e duaa