Page 1 of 1

kaar e jahaaN daraaz hai abb meraa intizaar kar

Posted: Thu Apr 07, 2011 11:47 am
by ismail ajaz
Dr.Allamah Iqbal raHmatullaah alaih

kee zameen (kaar e jahaaN daraaz hai abb meraa intizaar kar)
arz e Khidmat hai


kaar e jahaaN meN ghir ke tuu uqba nah sharmsaar kar
baaGh e bahisht ke liye taqwa bhee iKhtiyaar kar

hosh o Khirad shikaar haiN ,qalb o nazar beemaar ke
raft e safar tuu ruKh SaHeeH se Khud ko humkinaar kar

tuu hai muHeet e qalb o jaaN mat ghoom phir yahaaN wahaaN
Khudee ko DhooND Khud meN tuu aur Khud peh aashkaar kar

eemaan aur yaqeen kee bunyaad par jee le Zaraa
islaam kee aawaaz par yeh zindagee niCaar kar

naGhmah nau bahaar kee tuu faSl e gul ugaa ke abb
khilaa de ulfatoN ke phool har taraf bahaar kar

gesoo e taabdaar ke saiHar se tuu nikal ke aa
"Khayaal" ilm o aagahee se dil ko taabdaar kar

Ismail Ajaz Khayaal

Re: kaar e jahaaN daraaz hai abb meraa intizaar kar

Posted: Thu Apr 07, 2011 2:21 pm
by sbashwar

محترم اسماعیل اعجاز خیال صاحب
السلام علیکم

ایمان اور یقین کی بنیاد پر جی لے ذرا
اسلام کی آواز پر یہ زندگی نثار کر

غزل بہت خوب ہے۔ داد قبول فرمائیں۔

مخلص
سالم باشوار

Re: kaar e jahaaN daraaz hai abb meraa intizaar kar

Posted: Wed Apr 13, 2011 6:12 am
by Nayeem Khan
Iss khoobsurat ghazal par daad pesh hai.

Re: kaar e jahaaN daraaz hai abb meraa intizaar kar

Posted: Mon May 30, 2011 3:37 am
by ismail ajaz
sbashwar wrote:

محترم اسماعیل اعجاز خیال صاحب
السلام علیکم

ایمان اور یقین کی بنیاد پر جی لے ذرا
اسلام کی آواز پر یہ زندگی نثار کر

غزل بہت خوب ہے۔ داد قبول فرمائیں۔

مخلص
سالم باشوار
janaab moHtaram سالم باشوار SaaHeb

salaam aur shukriyah qubool farmaa'iye

mamnoon

Re: kaar e jahaaN daraaz hai abb meraa intizaar kar

Posted: Mon May 30, 2011 3:39 am
by ismail ajaz
Nayeem Khan wrote:Iss khoobsurat ghazal par daad pesh hai.

janaab moHtaram Nayeem Khan SaaHeb

maiN Sameem e qalb se aap kaa shukrguzaar hooN ,apnee duAa'oN meN yaad rakhiye

mamnoon