Page 1 of 1

Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde

Posted: Thu Apr 07, 2011 3:24 pm
by khalidnadeembudauni
ADAAWAT KAR TO SAKTI HAI MIRI TADBEER KE TUKDE
MAGAR MUSHKIL HAI KAR PANA MIRI TAQDEER KE TUKDE

TAALLUQ TOOT SAKTA HAI NIGAAHO KA NIGAAHO SE
TASAVVUR MEIN KABHI HOTE NAHI TASVEER KE TUKDE

WAFA HOTO.N PE RAKH DI AUR JAFA FITRAT KE DAMAN MEIN
MUSAVVIR HI NE KAR DALE MIRI TASVEER KE TUKDE

KHUDI KE ZOM MEIN AAKAR KHIRAD WALO NE KAR DALE
TIRI PAAZEB KE TUKDE MIRI ZANJEER KE TUKDE

KABHI KHILWAT MEIN HOTA HOON TO YEH EHSAAS HOTA HAI
MIRE PAIRON KI LAGHZISH NE KIYE TAUQEER KE TUKDE

LABO.N SE KHAT MIRA CHOOMA LIYA DAST-E-HINAI MEIN
NA KAR PAYE WO MERE SHAUQ KI TEHREER KE TUKDE

BAHAS KA KOI UNWA.N HO TO MUMKIN HAI KE HO JAAYEIN
SAWALO.N SE TO MUMKIN HI NAHIN TAQREER KE TUKDE

BADA ZIDDI WO BADAL HAI HAWAO TUM USEY ROKO
WO KAR DEGA CHAMAKTE CHAAND KI TANVEER KE TUKDE

KALAAM-KHALID NADEEM BUDAUNI-9411420292

Re: Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde

Posted: Thu Apr 07, 2011 7:57 pm
by Ehsan Raza
Mohatram Khalid saheb , Tasleem -O- niyaaz
Sabse pahle apko urdu bandhan per aamad ke liye mubarakbaad pesh karta hooN,Bohat khoobsoorat ghazal se Nazreen ko nawaza hai " IBTEDA AISEE HAI TO ANJAAM KIYA HOGA HUZOOR?
Her sher ke takhaiyul ne Taghazzul ko ek khoobsoorat paizeb men muqayeeyad ker diya hai jo sheqeen ki dade tahseen se hi khul saktee hai,Bilkhussos wo sher, wafa hontoN pe rakhdee aor jafa fitrat ke daman meN
Musawwir he ne ker daley meri tasweer ke tukreH
yaqeeni taor per musawwir ki tashkeel ki fanni akkasi hai.
Nigarish besabab alqaab ko badnaaM kartee haI
Wafa ki saij per aisey jafa aaram kartee hai (Ehsan Badauni)
Majmooi Taor per poori ghazal Murassa hai ,
Shukria, Ehsan badauni

Re: Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde

Posted: Fri Apr 08, 2011 2:55 am
by sbashwar
Mohtaram Khalid Nadeem Budauni Saheb
:salaam:

KABHI KHILWAT MEIN HOTA HOON TO YEH EHSAAS HOTA HAI
MIRE PAIRON KI LAGHZISH NE KIYE TAUQEER KE TUKDE

Urdubandhan par aapki aamad hamare liye ba'ace se massarrat hai. Khush-aamdeed.
Ghazal pasand aayee. daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde

Posted: Wed Apr 13, 2011 6:11 am
by Nayeem Khan
Iss khoobsurat ghazal par daad pesh hai.

Re: Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde

Posted: Thu Apr 14, 2011 6:14 am
by Hasan Aatish
ایک اچھی غزل پر داد پیش ہے۔

Re: Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde

Posted: Tue Apr 19, 2011 12:20 pm
by aabarqi
محترم خالد ندیم بدایونی صاحب کی تشریف آوری اردو بندھن میں ایک خوشگوار اضافہ اور اس فورم کے لئے ایک فالِ نیک ہے۔میں یہاں صمیم قلب سے ان کا استقبال کرتا ہوں۔۔اُن کی شیرینیٔ گفتار اور اُن کا انفرادی لب و لہجہ بے اختیار دامنِ دل کو اپنی طرف متوجہ کرتا ہے،
خاکسار
برقی اعظمی

Re: Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde

Posted: Wed Apr 20, 2011 9:24 am
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram Khalid Nadeem Budauni Saheb........ :salaam2:

Aapki Aamad "Urdubandhan" ke liye Aijaz kii baat hai. Aapki Ghazal :mashallah: bohat bohat aur bohat pasand aayi. Khaas kar ye ashaar...

BADA ZIDDI WO BADAL HAI HAWAO TUM USEY ROKO
WO KAR DEGA CHAMAKTE CHAAND KI TANVEER KE TUKDE

AALLUQ TOOT SAKTA HAI NIGAAHO KA NIGAAHO SE
TASAVVUR MEIN KABHI HOTE NAHI TASVEER KE TUKDE

Alla'h kare aap roz roz aatey rahein aur hamein pyaari pyaari ghazlon se nawazte rahein.

munir armaan nasimi

Re: Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde

Posted: Wed Apr 20, 2011 6:59 pm
by manzar alam
:salaam2:
waaaaah! janaab...waaaah!
kya kehne! :clap02: :clap02:
GHazal par meree bhee naacheez daad qubool farmaayeN............
shukriyah
manzar

Re: Misra Tarha-Tumhare pao chumenge meri tehreer ke tukde

Posted: Fri Apr 22, 2011 5:58 pm
by sfaseehrabbani
ایک خوبصورت غزل پڑھ کر بہت لطف آیا،
بہت سی داد آپ کےلیے۔
[/b]