Page 1 of 1

Meri nai Ghazal urdu Bandhan ke naam

Posted: Thu Apr 07, 2011 8:24 pm
by Ehsan Raza
Ghazal
TANG DASTEE HAI TO AARAAM KAHAAN SE AAYE

Tang dastee hai to aaraM kahaN se aayE ?
Taptey sooraj ke qareeN shaaM kahaN se aaye?

Hashiye men hi saja rakkha hai jab toone mujhe
Phir tere saath mera naam kahaN se aaye?

Kaghzi phool haiN ab piyaar ke guldanoN meN
Koi khushboo bhara paighaaM kahaN se aaye?

Chandni chand ki sooraj ka ujala ho jahaN
Laot ke ab woH subho Shaam kahaN se aaye?

HaiN zabanoN ke bhi ab zaiqey badle badle
Neem ke perH pe ab aam kahaN se aaye?

Re: Meri nai Ghazal urdu Bandhan ke naam

Posted: Fri Apr 08, 2011 3:00 am
by sbashwar
Mohtaram Ehsan Raza Saheb
:salaam:

Ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai. :mashallah:
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: Meri nai Ghazal urdu Bandhan ke naam

Posted: Wed Apr 13, 2011 6:11 am
by Nayeem Khan
Iss khoobsurat ghazal par daad pesh hai.