Page 1 of 1

Hamare shahar ka manzar badlne wala hai

Posted: Wed Apr 13, 2011 4:04 pm
by khalidnadeembudauni
HAMARE SHEHAR KA MANZAR BADALNE WALA HAI
SIYAH RAAT ME SURAJ NIKALNE WALA HAI

NAYA LIBAS JO HAR DIN BADALNE WALA HAI
AMEER SHEHAR KE TUKDO PE PALNE WALA HAI

YE AUR BAAT MITA DE HARFE TEHRIREN
MERA QALAM TO HAQEEQAT UGALNE WALA HAI

HAWA SE KEH DO KE AB EHTMAM SE AAYE
PHIR EK CHIRAG DAREECHE PE JALNE WALA HAI

YE KIS MAQAM PE LAAYI HAI BEBASI MUJHKO
MERA WUJOOD TO KHUSHBU ME PALNE WALA HAI

LIBAS SHAKL, RIFAQAT, KHULUS MEHRO WAFA
IS INQLAB ME SAB KUCH BADALNE WALA HAI

KISI BHI SHAKL ME FITRAT BADAL NAHI SAKTI
YE KAUN KEHTA HAI PATTHER PIGHALNE WALA HAI

Re: Hamare shahar ka manzar badlne wala hai

Posted: Thu Apr 14, 2011 5:55 am
by Hasan Aatish
ہوا سے کہدو کہ اب اہتمام سے آئے
پھر اک چراغ دریچے پہ جلنے والا ہے
بہت خوب ۔مگر کیا ہی بہتر ہوتا اگر رومن کی بجائے اردو میں ہوتا۔

Re: Hamare shahar ka manzar badlne wala hai

Posted: Mon Apr 25, 2011 9:20 am
by munir-armaan-nasimi
KISI BHI SHAKL ME FITRAT BADAL NAHI SAKTI
YE KAUN KEHTA HAI PATTHER PIGHALNE WALA HAI

Beshak.. badi sachchi baat aapne bade hi sada andaaz main keh di hai. Bohat achcha sher hai.......!!

Daad Qobool Kiziye Bhaijaan.

aapka apna,

munir armaan