KEEMIYA
Khuda bhi sochta tha ik din Banaa kar yeh saari khudaai
Ki kaisay ik fikr nay rach di Yeh tamaam tilsmee sachaai
Ki kaisay khwaabgaahoN ko ghumaan-e-yaqeeN honay lagaa
Magar khwaabgaahoN ki haqeeqat bhi haqeeqat hai
Yeh traadeed ka dilfaryeb fasoon
Sadaaqat bhi fasaanaa hai,fasaanaa bhi sadaaqat hai
Yeh rooh-e-takhleeq,khuda sochta thaa
Kaisay kaisay pardon main khud ko chupaati hai
Vaham-e-yaqeeN to kabhi Yaqeen-e-vaham ban ban kar
Ghrift say har baar phisal jaatee hai
Aur khuda nay socha---
Yeh saaraa tilism meri ik fikr nay rachaayaa!
Magar..magar yeh fikr meray zehan main kisnay basaayaa?
__________________