Page 1 of 1

Mujhe khatra nahi sood o zia’n ka

Posted: Tue Apr 19, 2011 5:08 am
by khalidnadeembudauni
Mujhe khatra nahi sood o zia’n ka
Khula rehne do darwaza maka’n ka

Na fasle gul na mausum hai khiza’n ka
Likhun ehwall kese gulsita’n ka

Bura ho khana e ashke rawa’n ka
Fasana likh diya dard e niha’n ka

Hawa jab rukh badal de badba’n ka
Koi pehlu nahi bachta amaa’n ka

Qaseeda kya likhu khushbu rasa’n ka
Khasara ho gaya phoolo’n ki jaa’n ka

Hawa jab ho gaye meri mukhalif
Ujala lut gaya mere maka’n ka

Tumhe ruswaiya’n sehni padengi
Bharosa kyo’n kiya tha razda’n ka

Musalsal sazishe’n hain bijliyo’n ki
Bada mushkil hai bachna ashiya’n ka

Re: Mujhe khatra nahi sood o zia’n ka

Posted: Tue Apr 19, 2011 12:07 pm
by aabarqi
mohtaram khalid Nadeem Budauni sb
ASAK
aap ki yeh fikr angez aur muraasaa ghazal aap ke sh'aoor e fikr o fun aur nehayat dilkash usloob e bayaan ki aainah daar hai.Meri pur khuloos daad hazir e khidmat hai. gar qubool uftad zahe izz o sharaf.
Khaksaar
Barqi Azmi

Re: Mujhe khatra nahi sood o zia’n ka

Posted: Fri Apr 22, 2011 11:17 am
by munir-armaan-nasimi
Tumhe ruswaiya’n sehni padengi
Bharosa kyo’n kiya tha razda’n ka

Waah bhai Waah... Kya khoob kahi.

Ghazal pe Daad qobool kiziye.

armaan

Re: Mujhe khatra nahi sood o zia’n ka

Posted: Fri Apr 22, 2011 5:52 pm
by sfaseehrabbani
بہت خوب صاحب!
بہت اچھی بہت دلکش غزل ہے۔
بہت سی داد قبول کیجیے۔