Page 1 of 1

NA ZINDGI KO HAQEEQAT NA KHAAB LIKHNA HAI

Posted: Tue Apr 19, 2011 5:10 am
by khalidnadeembudauni
NA ZINDGI KO HAQEEQAT NA KHAAB LIKHNA HAI
WUJOOD E ZEEST KO APNI SURAAB LIKHNA HAI

NAZAR KA APNI MUJHE INTAKHAB LIKHNA HAI
TUJHI KO CHAAND TUJHI KO GULAAB LIKHNA HAI

RAWA’N HO KARWA’N CHAE ZAWAALKI JANIB
MUFKKIRO’N KO MAGAR INQLAB LIKHNA HAI

YEH HUSNO’N ISHQ’ WAFA’WISAAL KI RUT
TUMHI BATAO KE KIS KO KHARAB LIKHNA HAI

FASAAD’ JURM ‘ADAWAT’GHUROOR’AYYARI
ZARA SI UMR ME KITNA HISAAB LIKHNA HAI

WO BAAT LIKHNA JO ZAKHM E JIGAR KI MUJIB HO
AGAR KHATO’N KA HAMARE JAWAB LIKHNA HAI

SUKHAN WARO’N NE TO LIKKHA HUBAAB HASTI KO
HAMEIN HAYAAT KO APNI SURAAB LIKHNA HAI

Re: NA ZINDGI KO HAQEEQAT NA KHAAB LIKHNA HAI

Posted: Sat Apr 23, 2011 5:48 pm
by khalidnadeembudauni
CHADREY RANJ O ALAM ODH KE SOYE’N KAB TAK
KHAAB ANKHO’N MEIN SHABEY TAAR PIROYE’N KAB TAK

HUMKO KARNA HAI UJALO’N KE SAFAR KA AAGHAZ
TEERAGEE ODH KE TANHAYEE MEIN SOYE’N KAB TAK

KOI PAIGHAM E SADAQAT KA NAHI’N HAI HAAMI
AAYENE BAITH KE TAQDEER PE ROYE’N KAB TAK

SOORAT E DEED HAI KOI NA HAI UMMEED E VISAAL
KHUSHBOO E ZULF TASAWWUR ME PIROYE’N KAB TAK

PAYKAR E HUSN ! HAMEIN ITNA BATA DE AKHIR
HASRAT E DEED KO ANKHO’N ME PIROYE’N KAB TAK

RANJO GHAM ‘ YAAS’ JAFA’ DARD’TASAWWUR’ HASRAT
HUM AKELE HI HAR IK BOJH KO DHOYE’N KAB TAK

Re: NA ZINDGI KO HAQEEQAT NA KHAAB LIKHNA HAI

Posted: Mon Apr 25, 2011 9:07 am
by munir-armaan-nasimi
YEH HUSNO’N ISHQ’ WAFA’WISAAL KI RUT
TUMHI BATAO KE KIS KO KHARAB LIKHNA HAI
:mashallah:

Kya hi umda sher hai Janab. Aatey rahiye aur hamein nawaazte rahiye. Ek behtarein ghazal ke liye Daad qobool kiziye.

aapka apna,

munir armaan