Page 1 of 1

Ghazal: Hashim Raza Raza Jalalpuri

Posted: Tue Apr 19, 2011 1:10 pm
by aabarqi
Ghazal: Hashim Raza Raza Jalalpuri

aankho'n me koi khawab sajone nhi deta
palko'n pe thaher jata hai sone nhi deta

hai uska tasavvur hi sanbhale huye mujhko
rangeeni-e-mahaul me khone nhi deta

aa jata hai zakhmo'n pe namak aur chhidakne
taloao'n ka lahu baithke dhone nhi deta

woh mujhko hansa deta hai kr kr ke ishaare
rona bhi agar chahoo'n to rone nhi deta

hai uska tasavvur hi mere dard ka marham
anhoni ko honi kbhi hone nhi deta

inko to zaroorat hai kitaab aur qalam ki
is waste bachcho'n ko khilone nhi deta

Woh jab se "Raza" aaya hai kashanah e dil meiN
rukhsaar ko ashko'n se bhigone nhi deta

Re: Ghazal: Hashim Raza Raza Jalalpuri

Posted: Wed Apr 20, 2011 9:09 am
by munir-armaan-nasimi
Inko to zaroorat hai kitaab aur qalam ki
Es waste bachcho'n ko khilone nahi deta
:clap02: