Page 1 of 1

Ghazal: Nomaan Shauque

Posted: Wed Apr 20, 2011 9:38 am
by aabarqi
Ghazal: Nomaan Shauque

Kuchh bhi kar sakta hoon main laut k jaane k siva
Koi chara nahin dil uska dukhane k siva

Kab chiraghon se koi kaam liya jayega
kya kiya aapne bhi ghar ko jalane k siva

Koi to nala e shabgeer pe bahar nikle
Koi to jaag raha hoga diwane k siva

Aur mat dekhiye ab adl e Jahangeer k khwab
Aur kuchh kijiye zanjeer hilaane k siva

Had to ye hai k wo nakaam raha is mein bhi
Aur kya karna tha ab mujhko bhulane ke siva

Re: Ghazal: Nomaan Shauque

Posted: Fri Apr 22, 2011 11:13 am
by munir-armaan-nasimi
Aur mat dekhiye ab adl e Jahangeer k khwab
Aur kuchh kijiye zanjeer hilaane k siva
:mashallah: