Page 1 of 1

Talkhiaan

Posted: Tue May 17, 2011 9:27 pm
by Brijinder
----------------------------------------

----------------------------------------


TalkhiaN


Tujhay aayaa na jo falak choonay ka andaaz
Gunaah bana di gayiN parvaazaiN meri
Ab mera qasoor hai kya teray ahsaas ki ghurbat
Jo dabaatay ho balaNd aawaazaiN meri?

Jab tu mehfiloN maiN ho mast firta tha
Karti thi meri umr tanhaaioN maiN riyaaz
Jab tu laga raha tha beparvaah qehqehay
Samajh raha tha tab maiN khyaaloN kay andaaz

Mainay ik ahud pay jiayaa hai zeest ka lamha lamha
Tunay tab jisay janooN ka naam diyaa
ZameeN jisko samajh na paayi
AasmaaN nay uska ahatraam kiyaa

Teray rutboN ki nahin ab koi kashish baqi
Samjhay to yeh bhi hai ik kamaal-e-phun mera
Jo bus riwaayutoN maiN dhal kar kay banay
NahiN ab woh mozu-e-sukhan mera

MaiN to khwaaboN kay geet banaauNga
Aur wusat-e-afqaar say sajaauNga
Tujh maiN himmat hai to aa jaanaa
Warna akaylay hi gungunauNga

----------------------------------------

Re: Talkhiaan

Posted: Sat May 21, 2011 10:37 am
by munir-armaan-nasimi
MaiN to khwaaboN kay geet banaauNga
Aur wusat-e-afqaar say sajaauNga
Tujh maiN himmat hai to aa jaanaa
Warna akaylay hi gungunauNga

Waah bhai waah... aapke "Himmat" kii Daad deta hoon... aap akele hi gungunana shru kiziye dekhiyega....... ek ke baad ek.. karvaan ban jaayega.... Waise agar main...

wusat-e-afqaar ko...... wusat-e-fikr padhooN to aapko bura to nahin lagega na???


armaan